Friday, November 14, 2014

Jab sukoo'n tha to kahaan harf e dua yaad aaya

Jab sukoo'n tha to kahaan harf e dua yaad aaya 
Aaj hai waqte musibat to khuda yaad aya 

Kis tarah humne hazaron pe jafaen ki hain 
thookrien khaayin to andaz e jafa yaad aaya 

Aaj jab chandini utri thi mere aangan mein 
Chand kis lamha hua mujhse khafa yaad aaya 

Teri mazboot panahon se judaai k baad 
Raat kyun dene lagi mujhko saza yad aaya 

jab bhi fursat mili hangama e duniya se mujhe 
meri tanhai ko bas tera pata yaad aaya 

Ye "faRahN" hai bahot door vatan se apne 
Laut te dekhe parinde to sada yaad aaya.' 
          

No comments:

Post a Comment