'duniya mein humein laya gaya tha bede zor
- o - sor ke sath,
ab ese hum chode ja rahe hai aahista
aahista
jo kal tak kiya karte the dawah hamari
qarabat ka
wahi aaj daman samete ja rahe hai aahista
aahista
har ek ghum ko humne saha samaj kar
aakhri lekin
ye silsila to badhta hi ja raha hai
aahista aahista
ek ek sapne chun kar sajaya tha aasmaa
wo khwab bhi bikharte ja rahe hai aahista
aahista
bohot koshish ki humne muskurane ki lekin
dard chehre se tabassum le ja raha hai
aahista aahista
tinka tinka jod ke banaya tha ek aashiya
humne
hawa use bhi bikhre ja rahi hai aahista
aahista
saamna karne nikle the zindagi ka zor ke
sath
ab apne hi hosla tode ja rahe hai
aahista aahista
bade mushqil se banaye the jo rishte humne
sukhi ret ki tarha hath se phisalte ja
rahe hai aahista aahista
kalam juhi rakhdi kamsin tune kagaz par
sher khud mukammal huwe ja raha hai aahista
aahista
~**~**~'
Saturday, November 22, 2014
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment