Sunday, December 7, 2014

'jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein

wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein



mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain

magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein



mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se

k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein



jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki

ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein



tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki

nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein



muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala

ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein



bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta

k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein'
          

No comments: