Wednesday, December 10, 2014

'Kaha usne bharosa dil par itna nahi karty
Kaha mein ny k mohabat mein kabhi socha nahi karty!

Kaha usne bohat khush rang dunya k nazary hy
Kaha mein ny k jab tum ho tu kuch deihka nahi karty!

Kaha usne mein tum se dur hun lekin tumhara hun
kaha mein ny k sapne dil ko behlaya nahi karty!

Kaha usne tumhari chahat mein ruswayan hongi
Kaha mein ny shohrat sy ghabraya nahi karty!

Kaha usne samjh jao samjh jao ay mere pagal!!
Kaha mein ny k deewaney ko samjhaya nae karte!!'
          

No comments: