Thursday, December 11, 2014

'Youn dil se kisi dil ka paiman nahi kartay
Ab jan pe bani hai to darman nahi kartay

Har yaad ko ab zakham-e-dil banatay nahi
Har teer ko paiwast rag-e-jaan nahi kartay

Yeh masla ab ahl-e-muhabbat ka hai apna
Martay hain to kuch aap pe ihsaan nahi kartay

Khat lain na lain tera, hum nama baron ko
Dekhtay rehtay hain pareshaan nahi kartay

Kab shamain jalata hai shab-e-mah main koi
Tu aaye to ham ghar main charaghaan nahi kartay

Hum taj kay chalay aatay hain yaro dar-e-janaan
Ghalib ki tarha manat-e-darbaan nahi kartay'
          

No comments: