Sunday, December 7, 2014

'Mujhay Aazad kar do na...

K main hon qaid barsoon say
Judai ki azeeyat mein..

Zehar bhar day gi ye zalim
Meri nazuk tabeyat mein..

Na do ab hosla mujh ko
Bata do raasta mujh ko
Koi bahar niklanay ka..

Hawa mein phir se urrnay ka
Mujhay us dais jana hai..

Jahan panchi utartay hain,
Jahan mosam badaltay hain..

Meri banjar c Aankho mein
Meri baytab sanso mein..

Koi tu rang bhar do na
Mujhay Aazad kr do na...!'
          

No comments: