Nigaah-e-Yaar pe palkon ki gar lagaam na ho
Badan mein dhoor talak zindagi ka naam na ho
Wo be-naqaab jo phirta hai gali koochon mein
To kesey shehar k logon mein qatal-e-aam na ho
Mujhe yaqeen hai k dunia mein dard bhar jaen
Agar ye peenay-pilanay ka ehtemaam na ho
Bitha k samney bas dekhta rahon usey
Us k siwa mujhe dunia ka koi kaam na ho
Jo us ko dekh le ek nazar Faraz
Mere shehar ki galiyon mein kabhi shaam na ho
No comments:
Post a Comment