Friday, December 6, 2013
"DECEMBER JAB BHi AATA HAi"
wo pagli phir se
beetay mosam ko,
yad krti he
poraNe cards parhti hai,
k jis maiN oss Ne likha tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN
Naye kaprey baNati hai,
wo sara ghar sajati hai,
DECEMBER k har aik diN ko,
wo giN giN ker bitati he.
jooN hi 15 gozarti hai,
wo kch kch toot jati hy,
magar phir b,
poraNi albums ko khol ker,
maazi ko bolati he.
Nahi maloom ye oss ko,
K beete waqt ki khoshiyaaN,
bohot takleef deti h
Thursday, December 5, 2013
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Apani tamam shokh adaaon ke bawajud,
Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi !
Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud,
Suraj ke bawajud andhera hai zindagi !
Barbaad hamko hona tha barbad ham huye,
Duniya hai sari nek salahon is zindagi !
Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari,
Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi !
Wednesday, December 4, 2013
Subscribe to:
Posts (Atom)