Mujhe kitne hi barson se agar-che janta hai wo
Yeh kesa zulm hai k ajnabi gardanta hai wo
Mere haathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsha tha
Mujhe taareek lamhon mein kahan pehchanta hai wo
Magar phir bhi usay apna banane k gumaan mein hoon
Mujhe maloom hai k kab kisi ki maanta hai wo
Sahara maangta hai sirf tanhai k lamhon mein
Muhabbat ka ta'aluq kab kisi se baandhta hai wo
Mera dil chahta hai usko seenay se laga loon mein
Redae ghum ko apni rooh pe jab taanta hai wo
Mujhe jab dukh milein tou kis qadar khushiyan manata hai
Chalo Wasi kisi tarha tou mukhko maanta hai wo
No comments:
Post a Comment