Thursday, December 11, 2014

'Ye kis khalish ne phir is dil main ashiyana kya
Phir aj kis ne sukhan ham se gayebana kya

Gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho k dast-e-udu
Salook jis se kya hamane ashiqana kya

The khak-e-rah bhi ham log qahar-e-tufan bhi
Saha to kya na saha aur kya to kya na kya

Khush ha k aj har ik muddai k lab par hai
Wo raz jis ne hamain rand-e-zamana kya

Wo hilagar jo wafa ju bhi hai jafa khu bhi
Kya bhi "Faiz" to kis bat se dostana kya'
          

No comments: