Suraag de ga kaheen ja k maah o saal mein tu
Kahan rahe ga mere kooza e khayal mein tu
Parayi dhoop se aangan ki teergi achi
Ulajh raha hai yeh kis roshni k jaal mein tu
Tujhe khaber nahin urti hai khaak e jaan kaise
Ghira nahin kisi andeysha e zawal mein tu
"Main dekhta hon lakeeron ki serhadon mein tujhe
Likha hua hai mere dast e kamal mein tu"
Tujhe main mang raha hon yeh kis bahane se
Chupa hua hai meri khwahish e sawal mein tu
Kisi ki ankh se khwabon ki kirchiaan chun ker
Ab aik umer se baitha hai kis malaal mein tu
Kahan gaya tere under ka khud parast Zafer
Bikher gaya hai kisi k jamal mein tu

No comments:
Post a Comment