Friday, November 16, 2012

Tera Haath Haath Mein Aa Gaya



Mujhe Sahal Ho Gayi Manzilein, Woh Hawa Ke Rukh Bhi Badal Gaye
Tera Haath Haath Mein Aa Gaya, Ke Charaagh Raah Mein Jal Gaye
Woh Lajaaye Mere Sawaal Par, Ke Uttha Sake Na Jhuka Ke Sar
Udi Zulf Chehre Se Is Qadar Ke Shabon Ke Raaz Machal Gaye
Wohi Baat Jo Na Woh Kah Sake, Mere Sher-O-Nagme Mein Aa Gayi
Wohi Lab Na Main Jinhein Choo Saka, Kadh-E-Sharaab Mein Dhal Gaye
Wohi Aastaan Hai, Wohi Jabeen, Wohi Ashq Hai, Wohi Aasteen
Dil-E-Zaar Tu Bhi Badal Kahin Ke Jahaan Ke Taur Badal Gaye
Tujhe Chasm-E-Mast Pata Bhi Hai Ke Shabaab Garmi-E-Bazm Hai
Tujhe Chasm-E-Mast Khabar Bhi Hai Ke Sab Aabgeene Pighal Gaye
Mere Kaam Aa Gayi Aakhirash Yahi Khwahishein, Yahi Gardishein !
Badhien Is Qadar Meri Manzilein Ke Kadam Ki Khwaar Nikal Gaye


https://www.facebook.com/fans.urdupoetry

No comments: