December Mujh Se Bola Tha
Ab K Jab Main Aon Ga
Tujhe Phir Se Pukaron Ga
Usy Main Sath Laon Ga
Jo Tujh Ko Bhool Betha Hai
Keh” Jis K Hijr Ka Lawa
Tera Tann Mann Jalata Hai
Keh” Jis Ki Yaad Ki Jheelon Main
Aksar Doob Jaty Ho
Keh” Jis K Wasty Baithy
Yahan Tum Geet Gaty Ho !
December Mujh Se Bola Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yadain Us Ne Sonpi Hain
Jo Lamhy Us Ne Bakhshy Hain
Chahy Yeh Zakhm Sary
Rooh Ka Nasoor Ban Jaein
Inhain Bharny Nahi Dena
Inhain Marny Nahi Dena
Keh” In Zakhmon Pe Marham
Aik Din Us Ne He Rakhna Hai !
December AA Geya Lekin
December Woh Nahi Aaya
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Usy Woh Sath Laye Ga
Mujhe Phir Se Pukary Ga !
December ! Ghor Se Sun Lo
Usy Bhi Tum Bata Dena
Yeh Sansain Machli Bethi Hain
Ab Rukhsat Pe Jany Ko
Yeh Aankhain Bhi Barasti Hain
Usy Wapis Bulany Ko
Magar Yeh Janty Hain Hum
Hamain Wo Bhool Betha Hai !
December Aaye Jo Ab Ho
To Itna Yaad Rakh Lena
December Aor He Tha Woh
Keh” Jis Ne Mujh Se Bola Tha
Mujhe Umeedain Bakhshi Thin
Mujhe Jeena Sikhaya Tha
Buhat Masoom Thy Hum To
Jo Itna Bhi Nahi Samjhy
December To December Hai
Sab He Ko Rulata Hai
Hamesha Dair Karta Hai
Sanam K Taor Rakhta Hai
Sada Akhir Mein Aata Hai !
December Us Se Keih Dena
Mujhe Jitna Bhi Tarpa Le
Keh” Tujh Se Haar Maani Hai
Ab Hum Ne Yeh He Thaani Hai
Yoon Us Se Door Jana Hai
Kabhi Wapis Na Aana Hai !
Chalo Chhoro Ab Jany Do
December Kuchh Bhi Na Kehna
Koi Shikwa Nahi Karna
Keh” Jis Se Yeh Guman Guzry
Usy Hum Yaad Karty Hain
Usi Ki Raah Takty Hain
Keh” Apni Zindgani Ka
Es Sari Kahani Ka
Yeh Manzar Akkhri Ho Ga !
DECEMBER AKHRI HO GA
DECEMBER AKHRI HO GA….. !
No comments:
Post a Comment