Wednesday, July 24, 2013

Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,


Chaak-E-DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand,
Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand,

Unke Abroey-KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai,
Apni Aankhon Mein Barri Der Chubha EID Ka Chaand,

Door Veeran Baseray Mein Diya Ho Jiase,
GhaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand,

Leke Haalaat Ke Sehraon Mein Aa Jaata Hai,
Aaj Bhi Haalaat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand,

Talkhiyaan Barh Gayin Jab Zeest Ke PaiMaane Mein,
Ghol k Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand,

ChashM To Wusat-E-AflaaQ Mein Khoyi,

Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand

No comments: