Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…
No comments:
Post a Comment