Ta’alluq Rakh Liya Baqi, Tayyqan Torr Aaya Hoon
Kisi Ka Sath Dena Tha , Kisi Ko Chorr Aaya Hoon
Tumhare Sath Jeenay Ki Qasam Khane Se Kuch Pehle
Men Kuch Wadey, Kai Qasmein, Kaheen Par Torr Aaya Hoon
Mohabbat Kaanch Ka Zindaan Thi Yun Sang-e-Giraan Kab Thi
Jahan Sar Phorr Sakta Tha, Waheen Sar Phorr Aaya Hoon
Palat Kar Agaya Lekin , Yun Lagta Hai K Apna Aap
Jahan Tum Mujhse Bichre Thay, Waheen Rakh Chorr Aaya Hoon
Usay Jane Ki Jaldi Thi , So Men Aankhon He Aankhon Men
Jahan Tak Chorr Sakta Tha, Wahan Tak Chorr Aaya Hoon
Kahan Tak Men Liye Phirta , Mohabbat Ka Yeh Iktaara
So Ab Jo Saans Tooti, Geet Aadha Chorr Aaya Hoon
Kahan Tak Rum Kia Jaey Ghazal-e-Dasht Ki Soorat
So Ahmed Dasht-e-Wehshat Se Yaka-Yak Dorr Aaya Hoon…
No comments:
Post a Comment