Guroor Baichay Gein Na Iltajaa Khareedain Ge Na Sar Jhukaayein Gein Na Sar Jhuka Khareedain Ge QUbool Karli Hai Deewar-e-CHeen Aankhon Ne Ab Andhay Loog Hee Rasta Naya Khareedain Ge Jhukain Tou Osko “Sakhaawat” Lagay Ye Jhukna Bhi Ab Apnay Qad Ka Koi Devta Khareedain Ge Ye Ziddi Loog Hain In Se Wafaa Ki Rakh Umeed Jafaa Guzeedah, Mukarrar Jafa Khareedain Ge Phir Os “Hujoom” Ka Qibla Durust Ho Kaisay ? Jo Qibla Baich Ke Qibla Numa Khareedain Ge Hum Apne Sheher Ki Malka-e-Husn Ki Khaatir TUmharay Sheher Se Ik Aaina Khareedain Ge Meri Kitaab Hai Aur Os Haseen Ki Tasweerain ! Mujhe Pata Tou Chalay Aap Kia Khareedain Ge ? Khareedtay Rahay Hum “Saada Paani” Gar Yunhi Wo Din Bhi Aayega Hum Sab “Hawa” Khareedain Ge ! Har Ik Cheez Baraaye-Farokht Rakh Dain Ge Tumharay Pyaar Ki Hum Intehaa Khareedain Ge ! Sharaab Baichnay Waalon Pe “Qais” Hairaan Hun Sharaab Baich Ke Aakhir Ye Kia Khareedain Ge ???
No comments:
Post a Comment