Jab ho ke bay-qarar tujhay soochta hon main
Din raat bar bar tujhay soochta hon main
Sooraj ufuq k par jab doobta hay tub
Koch ho k sogawar tujhay soochta hon main
Main aaj bhe masroof-e-sufer hon teri janib
Rusta hay khar khar tujhay soochta hon main
Hunsta hon jhail laita hon sudmay judaie ke
Hay umeed wasl-e-yar tujhay soochta hon main
Jab bhe mujhay sunaie daiy dustak keward pay
Tarap kar kaie bar tujhay soochta hon main
Hain roz-o-shub meray ik jaisay he yahan
Aashiq hon bay mizar tujhay soochta hon main
Haathon main apnay daik, likhi ghazal ko tou
Kehta hon bar bar tujhay soochta hon main
Perdti hay jab phowar tau aiy jaan-e-shaukat
Bohat ho k ashakbar tujhay soochta hon main
Wednesday, March 11, 2015
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment