Bheer mein ikk ajnabi ka samna acha laga
Sab se chhup kar wo kisi ka dekhna acha laga
Surmai aankhon kay neechay phool sey khilney lagey
Kehtey kehtey kuch kisi ka sochna achha laga
Baat to kuchh bhi nahin thee lekin uss ka aik damm
Haath ko honton pey rakh kar rokna achha laga
Chaye mein cheeni millana uss ghari bhaya bahot
Zer e labb wo muskurata shukria achha laga
Dil mein kitney ahed bandhey thay bhullaney kay liye
Wo milla to sab iraday todna achha laga
Iss addoye jaan ko amjad mein burra kaisey kahon
Jab bhi aaya samney wo bewafa achha laga
No comments:
Post a Comment