Thursday, December 25, 2014

'Ajab takazy hain chahaton k,
Bari kathan ye musafatain  hain,

Main jis ki rahon mein bich gaya hon,
Usi ko mujh se shikaytain hain,

Shikaytain sub baja hain laikin,
Main kaisy us ko yaqeen dilaon?

Jo mujh ko jaan se aziz tar hai,
Usay bhulaon tu mar na jaon,

Main is khamoshi k imtahan mein,
kahan kahan se guzar gaya hon,

Usay khabar bhi nahin hai shayad,
main dheeray dheeray Bikhar gaya hoon.   Yasir
Gur{\/}ani'
          

No comments: