Sunday, December 21, 2014

'Roz taaron ki numaish me khalal parta hai,

Chand pagal hai andhary me nikal parta hai,

Aik deewana musafir hai meri ankhon me,

Waqt be-waqt Thehr jata hai chal parta hai,

Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab,

Roz suraj ki tarha ghar sy nikal parta hai,

Roz pathar ki himayat mein ghazal likhtay hain,

Roz sheeshon sy koi kam nikal parta hai,

Us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo,

Dharkano say bhi ibadat mein khalal parta hai...'
          

No comments: