Thursday, December 25, 2014

'Marti hui zameen ko bachana para mujhe
Badal ki thara zameen pe ana para mujhe

Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana para mujhe

Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
Phir yun hua ke mar ke dikkana para mujhe

Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana para mujhe

Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana para mujhe

Aise biched kar usne mar jana tha
Uski nazar main khud ko girana para mujhe'
          

No comments: