Friday, December 12, 2014

'Tujhay Ilm hai  Ay Tabib e Jan Tera Piyar  Meri Hayat hai...

Main Mariz hon Teray Qurb ka Mujhay Door Ja k Dawa na de....

Yahan Sb Andhair-Parast hein, Yahan Roshni ki majaal kaya

Ye chiragh phir bhi chiragh hai, koi atey jatey bujha na de...

Tum ga'ay dino mein jo sath thay meray qalb-o-jan ka saboot thay...

Ye bila-waja tera rothna meri zindagi ko mita na de...

Teray samney meray humsafar meri dharknon ki bisat kaya.?

Tera iss tareh mujhay dekhna kahin mairi omr ghata na de..'
          

No comments: