Tuesday, September 30, 2014

Milay Jaha'N Kisi Ko Kantay,Tu Kisi Ke Hissay Gulaab Thehray






Milay Jaha'N Kisi Ko Kantay,Tu Kisi Ke Hissay Gulaab Thehray
Jisay Chahay Woh Nawaz De, Ye Mere Rab Ke Hisaab Thehray

BaDra Rahim-o-Karim Hai Woh Jis Ko De De, Hai Us Ki Marzi
Kisi Ke Hissay Sawab Likh De, Kissi Ke Hissay Azaab Thehray

Ye Apni Taqdeer Se Hai Mila, Kisi Ko DariyAa Kisi Ko SehrAa
Koii Tarasta Hai Boond Boond, Kisi Ke Hissay Chanab Thehray

Koii Din Mai'N Bhi Sapne Hai Dekhta, Kisi Se Neendai'N Roth Gaii'N
Kisi Ke Hissay Mai'N Rat-Jagay, Kisi Ke Hissay KhuAab Thehray

BichDre Tu Qurbatu'N Ki DuAa Bhi Na Kar Sakay






BichDre Tu Qurbatu'N Ki DuAa Bhi Na Kar Sakay
Ab Ke Tujhe Supard-e-KhudAa Bhi Na Kar Sakay

Taqseem Ho Ke Reh Gaye So Kirchiyu'N Mai'N Hum
Aur Naam-e-WafAa Ka Qarz Aada Bhi Na Kar Sakay

Nazuk MizAaj Logh Thay Hum, Ho Jese Aaiina
Tootay Kuch Is Tarha'N Ke SadAa Bhi Na Kar Sakay

Khush Bhi Na Rakh Sakay Tujhe Apni ChAah Mai'N
Aur Achii Tarha'N Se Tujh Ko Khafa Bhi Na Kar Sakay

Ab to ghabra kr ye kehty hain k mar jayen ge








Ab to ghabra kr ye kehty hain k mar jayen ge

Mar k b chain na paya to kahan jayen ge ??

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai





Ye Jo Zeest Ka Safar Hai

Ye Jo Raasta Hai Mera
Tum Agar Na Sath Do Gay Tou
Ye Kis Tarhan Katey Ga?

Meri Soch Ki Hadon Tak
Ye Guumaan Kaise Aaye
Koi Pal Bina Tumharey
Bhala Kaise Beet Jaye,

Mere Paas Tum Nahi Ho
Mere Paas Kuch Nahi Hai
Meri Yaad K Nagar Mein
Mere Khuwab K Safar Mein,

Meri Souch Ki Te,hon Mein
Bus Aarzoo Tumhari
Is Aarzoo Se Agay Koi Raasta Nahi Hai
Meri ibtida tumhi thy
Meri intehaa tumhi pe
Tumhe Kis Qadar Hai Chaha
Ye tumhain Pata Nahi Hai.

Monday, September 29, 2014

Ab meini Kese Jaari Rakhoun Safar Ke Kho Gaya Wo









Ab Mein Kese Jaari Rakhoun Safar Ke Kho Gaya Wo
Mujhe Chalte Rehne Ka Hosla De Kar


Koi Chore Na Raaste Mein Yun Ke Jese
Chor Gaye Dost Mujhe Dosti Ka Maza De Kar


Sunday, September 28, 2014

Jal Jaate Hain Khamoshi Se Tarpa Nahi Karte







Jal Jaate Hain Khamoshi Se Tarpa Nahi Karte
Hum Ahl-E-Wafa Aesa Tamasha Nahi Karte

Chaha Tha Kisi Ko To Koi Baat Thi Warna
Hum Log To Apni Bhi Tamanna Nahi Karte

Tera Achanak Yun Mil Jaana





Tera Achanak Yun Mil Jaana

Meri Khwuahish Thi, Hadsa Kab Tha

Dil Samandar Mera Qatil Thehra








Dil Samandar Mera Qatil Thehra
Mai Keh Ujra Hua Sahil Thehraa

Ek Aansu Mai Simat Aaya Hun
Zindagi! Mai Tera Hasil Thehra

Saturday, September 27, 2014

Aaj Toot Kar Us Ki Yaad Ayi To Ehsaas Huwa,




Aaj Toot Kar Us Ki Yaad Ayi To Ehsaas Huwa,

Utar Jayen Jo Dil Mein Wo Bhulaye Nahi Jatay...!

Hum Is Qadar Tum Pay Mar Mittein Gay







Hum Is Qadar Tum Pay Mar Mittein Gay
Tum Jahan Dekho Gay Hum Hi Tumhay Dikhein Gay

Rakhna Har Pal Is Dil Mein Hamari Yaad
Hamaray Baad Hamaray Pyar Ki Daastaan Duniya Waalay Likhen Gay...!

Sunder Tha Is Qadar Wo K Maloom Na Ho Saka,





Sunder Tha Is Qadar Wo K Maloom Na Ho Saka,

Kaisay? Kahan? Aur Kab? Mera Bacpan Chala Gaya...!

Aashna Hotey Huway Bhi Aashna Koi Nahi,




Aashna Hotey Huway Bhi Aashna Koi Nahi, 
Jaantey The Sab Hai Mujhey Pehchanta Koi Nahi, 

Hum Ne Khud Se Paida Kiye Hai Zindagi Mein Masle, 
Warna Sachi Baat Yeh Hai Masla Koi Nahi, 

Khudkushi Bhi Jurm Hai Aur Udasi Bhi Mujrim, 
Kaun Kis Mushkil Mein Hai Ye Dekhta Koi Nahi, 

Saaf Lafzon Mein Hai Yeh Ab Mizaj-E-Dosti, 
Rabta Bay-Shak Hai Sab Se Waasta Koi Nahi...!

Friday, September 26, 2014

Koi Tu PoChe wo zindA Hai kis Tarha Akhir

Main Aksar Usay Kehta Hoon,




Main Aksar Usay Kehta Hoon,
Tum Shor Bohat Machaati Ho.

Phir Wo Mujhsey Kehti Hay,
Jab Kalaai Meri Tum Pakro Gay.

Chorri To Meri Khankay Gi,
Chorri Ka Shor To Hota Hay.

Jab Pyar Sy Mujhey Bhulao Gay,
Tab Dorr K Main To Aungi.

Phir Paayal Meri Khanky Gi,
Paayal Ka Shor To Hota Hay.

Jab Bindiya Meri Chamky Gi,
Yeh Aankh Me Teri Damky Gi.

Jazby Phir Shor Machayen Gay,
Jazbon Ka Shor To Hota Hay.

Zulf Meri Suljhaaty Huwey,
Jab Gajray Ko Bikhraao Gay.

Tab Saansain Meri Mehken Gi,
Saanson Ka Shor To Hota Hay…!!!

Jee To Chahta Hay Tujhey Cheer K Rakh Doon Aye Dil,

                          





Jee To Chahta Hay Tujhey Cheer K Rakh Doon Aye Dil,

Na Wo Rahey Tujh Mein Na Tu Rahey Mujh Main...!

Mujay To Is Jahan Mein Sirf Tum Say Muhabat Hai,




Mujay To Is Jahan Mein Sirf Tum Say Muhabat Hai,

Yaa Mera Imtehan Lay,Ya Mera Aitbar Kar.......!!!!!!!

Bohat Mumkin Tha Mere Paoun, Meri Zeest K Kaantey Nikal Jaatey







Bohat Mumkin Tha Mere Paoun, Meri Zeest K Kaantey Nikal Jaatey,
Bohat Mumkin Tha Meri Raah K Pathar Pighal Jaatey,

Jo Deewarein Mere Rastay Mein Haayel Thi Merey Aagey Se Hatt Jaatein,
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey Kohsaaroo'n Ki Taraf Aik Pal,

Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo Se Katt Jatein Bohat Munkin Tha,
Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani Mein Tumhare Paaoo'n K Ujley Kanwal Khiltey,

Rafaaqat Ki Sunehri Jheel Mein Dono K Aks-E-Zofishaa'n Hiltey,
Bus Ik Khawab-E-Musalsal Ki Faza Rehti Hamari Rooh Kab Hum Se Khafa Rehti ?

Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey...!

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,







Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Mein Jagtay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,

Tumharay Baad Chaahat K Sabhi Punchi Urray Janaa,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,

Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diye Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,

Sard Tareek Raaton Mein Siyah Sawan Ki Barish Mein,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,

Saahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain...!!!

Dafan Hain Mujh Main Meri Kitni Ronaqain Mat Poocho,




Dafan Hain Mujh Main Meri Kitni Ronaqain Mat Poocho,

Ujarr Ujarr K Jo Basta Raha Wo Shehar Hoon Main...!!!

Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat





Kabhi Zindagi Ka Naam Hai Mohabbat
Kabhi Mout Ka Pegham Hai Mohabbat

Kabhi Mohabbat Se Milti Hai Khushi
Kabhi Gham Ki Sham Hai Mohabbat

Kabhi Aansuon Ki Barish Hai Maohabbat
Kabhi Hansi Ka Jaam Hai Mohabbat

Kabhi Dil Ki Jalan Hai Mohabbat
Kabhi Dil Ka Araam Hai Mohabbat

Kabhi Mout Ki Tarah Be Naam Hai Mohabbat
Kabhi Zindagi Kehti Hai Mera Naam Hai Mohabbat

Wo Anna Parast Sahi Us Ki Baton Mein Iqrar Bhi Tha




Wo Anna Parast Sahi Us Ki Baton Mein Iqrar Bhi Tha
Us K Chubtay Hue Lehjay Mein Chupa Pyar Bhi Tha

Wo Mujhy Likhta Hai K Muntazir Na Raho Lakin
Us Ki Tahreer Mein Sadion Ka Intzaar Bhi Tha

Wo Kehta Ha Mat Rutho K Mananaa Nahi Aata
Meri Narazgi Pe Lakin Wo Bekarar Bhi Tha

Main Shayad Phir Na Likhta Usy Apni Khabar
Dosti Ka Bharam Rakhna Tha Kuch Dil Be-Ikhtiar Bhi Tha

Shayad Yehi Us Ka Anadaz-E-Mohabat Ho

Main Logon Ki Baaton Ko Zara Bhar Bhi Nahi Sunti,







Main Logon Ki Baaton Ko Zara Bhar Bhi Nahi Sunti,

Mera Dil Ab Bhi Kehta Hai, Usay Mujhsy Mohabbat Hai...!

Thursday, September 25, 2014

Humesha Muskura K Aansooun Ko Chupaya






Humesha Muskura K Aansooun Ko Chupaya
Ghum Ko Chupany Ka Yahi Rasta Nazar Aaya

Kis Kis Ko Batatey Behtey Ashkon Ka Sabab
Kay Derd-E-Dil Dil Main Kis Nay Jagaya

Mehfilon Main Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya

Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker
Yaron K Darmiyan Kis Qadar Muskuraya

Na Thi Chah Kabhi Mujahy Mankashi Ki
Jaam-E-Wafa Kisi Bay Wafa Nay Pilaya

Kya Muqadar Say Shikwa Kertey Rahain
Jo Qismat Mein Tha Wohi Kuch To Paaya

Yeh Kis Mor Pay Aagaee Hain Umeedain
Kay Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya

Apno Nay Palat K Dekha Tak Nahin
Ghairon Nay Aaker Galay Say Lagaaya

Acha Hua K Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya

Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hay 
Dil K Tukrey Huwe Wo Chun’ney Na Aaya

Sirf Mujh Sy Hi Karna Saaray Ka Sara....!!




Sirf Mujh Sy Hi Karna Saaray Ka Sara....!! 

Ye JO Pyar Hai Tumhara ... Ye Haq Hai Hamara....!!

Dekho Abhi Bhi Waqt Hai Aa K Sambhaal Lo,








Dekho Abhi Bhi Waqt Hai Aa K Sambhaal Lo,

Palkon Say Khawaab Toot K Bikhra Nahi Abhi...!!!

Lutaa K Har Cheez Manzil-e-Ishq Ki Talaash Mein,




Lutaa K Har Cheez Manzil-e-Ishq Ki Talaash Mein,

Main Hans Parhi Hoon Khud Ko Nakaam Dekh Kar...!

Zara Si Baat Per Mohsin Bheego Letay Ho Ankhen Tum,






Zara Si Baat Per Mohsin Bheego Letay Ho Ankhen Tum,

Suno! Aisa Nahi Kartey Zamana Bech Khaye Ga.......!!!!!!!

Waqt Hai Jhonka Hawa Ka Aur Hum Peeley Pattay,





Waqt Hai Jhonka Hawa Ka Aur Hum Peeley Pattay,

Kon Jaanay Aglay Lamhay Tum Kahan Aur Hum Kahan...!

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,





Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash, 
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash, 

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai, 
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon K Liye, 
Yehi Hai Sisakte Sunkatey Marghaton Ki Kashmakash, 

Kayi Gehrey Sawalon Ka Karwan Ho Jaisey Koi, 
Yun Meri Peshani Pay Salwaton Ki Kashmakash, 

Haadsay To Sabhi Nay Dekhey Hongey Sarrkon Par, 
Janta Hai Koi Kya, Jaam Ghaton Ki Kashmakash...!

Sunsaan Ho Gaya Hai Mere Dil Ka Yeh Shahar,






Sunsaan Ho Gaya Hai Mere Dil Ka Yeh Shahar,

Is Ishq Ki Hakoomat Mein Sab Kuch Ganwa Diya....!!!

Meri Tabahiyon Main Tera Hath Hai Magar





Meri Tabahiyon Main Tera Hath Hai Magar

Farhan

Main Sab Se Keh Raha Hon Muqadar Ki Baat Hai

Toot K Chahana Aur Phir Toot Jana,

                                     





                                                  Toot K Chahana Aur Phir Toot Jana,

                                               
                                                Baat Choti Hai, "Magar" Bohat Gehri Hai...!!!

Wednesday, September 24, 2014

Kuch Nahin Milta Jitni Marzi Wafa Karlo Kisi Say






Kuch Nahin Milta Jitni Marzi Wafa Karlo Kisi Say


Jab Waqt Hi Wafa Na Kray To Wafadar Bhi Bewafa Ho Jate Hain...!

Zindagi Itnay Dard Deti Hai,





Zindagi Itnay Dard Deti Hai,
Dil Mein Phir Bhi Umeed Rehti Hain,

Dil Kehta Hai Kuch Nahi Hoga,
Par Kuch To Hoga Umeed Kehti Hai...!

Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti






Hamesha Sath Rehne Ki Aadat Kuch Nahi Hoti
Jo Lamhe Mil Gaye Hain Jee Lo Riyazat Kuch Nahi Hoti

Jisey Mehroomiyan Mili Hon Wohi Jaan Sakta Hai
Zubani Hosla, Jhooti Muravat Kuch Nahi Hoti

Kai Rishton Ko Jab Parkha, Nateeja Aik He Nikla
Zarorat He Sab Kuch Hai, Mohabbat Kuch Nahi Hoti

Kisi Ne Choor Kar Jana Ho To Phir Choor He Jata Hai
Bicherna Ho To Sadiyon Ki Rafaqat Kuch Nahi Hoti

Taaluq Toot Jaye To Safeene Doob Jaate Hain
Yeh Sab Kehne Ki Baatein Hain, Haqeeqat Kuch Nahi Hoti 

Phir Jhoom K Barkha Barsi Hai Kahi,

                                     




Phir Jhoom K Barkha Barsi Hai Kahi,

Lagta hai... Phir Dil Kissi Ka Tota Hai...!

Bichar Gaye Hum Dono Anaa Ko Beech Mein Laa Kar




Bichar Gaye Hum Dono Anaa Ko Beech Mein Laa Kar 

Usey Mera Mujhy Uska Khasaara Maar Dalay Ga...!!!

Kaisay Mumkin Hai K Bhool Jayen Tumhain...?








Kaisay Mumkin Hai K Bhool Jayen Tumhain...?
Koi ''Waqia'' Nahi Ek ''Silsala'' Ho Tum...!!!

Tum Tanhai Mein Jab Mere Dil Par Dastak Detay Ho,





Tum Tanhai Mein Jab Mere Dil Par Dastak Detay Ho,
Soye Hue Armaanon Ko Aa K Jagga Detey Ho,

Yeh Alag Baat Hai Ki Mera Wajood Hai Tumsay Juda,
Magar Khayaalon Mein Aakar Ek Kasak Si Jaga Dety Ho…!

Fesla Likh Ke .......... Qalam Tor Diya Munsif Ne ..!!







Fesla Likh Ke .......... Qalam Tor Diya Munsif Ne ..!!

Phir Muhabbat Ki Na Di Koi Saza , Mere Baad ..!!

Aik Wo Din Tha Ke Kaanton Se Muhabbat Ki Thi ..!!






Aik Wo Din Tha Ke Kaanton Se Muhabbat Ki Thi ..!!

Ab Ye Aalam He Ke Pholon Se Bhi Dar Lagta He ..!!

Tum Barey Dil Nasheen The Par Jab Se ..!!





Tum Barey Dil Nasheen The Par Jab Se ..!!

Ho Gaye Ho Us Ke ..... Zehar Lagte Ho ...!! 

Ana Ka Mamla Darpaish Hai Warna Haqeeqat Mein





Ana Ka Mamla Darpaish Hai Warna Haqeeqat Mein

Usay Meri, Mujhe Us Ki Kami Mehsoos Hoti Hai

Wo Bhi Ana Parast Tha Hum Bhi Ana Parast




Wo Bhi Ana Parast Tha Hum Bhi Ana Parast

Phir Yun Hua K Raastey Yakja Nahee Rahe

Ana Parast To Hum Bhi Ghazab K Hain Lekin. .







Ana Parast To Hum Bhi Ghazab K Hain Lekin. .
Tere Gharoor Ka Bus Ehteraam Karte Hain. . . .

Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,



Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar,
Tujhe Chahna Meri Bhol Thi,

Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar,
Tujhe Dekhna Meri BHol Thi,

Koi Nazam Ho Ya Koi Gazal,
Kahin Raat Ho Ya Kahin Seher,

Wo Gali Gali Wo Sheher Sheher,
Tujhe Dhondna Meri Bhol Thi,

Mere Ghum Ki Koi Dawa Nahi,
Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi,

Tera Koi Mere Siwa Nahi,
Yahi Sochna Meri Bhol Thi. . . . . . . .

Tuesday, September 23, 2014