Thursday, September 25, 2014

Humesha Muskura K Aansooun Ko Chupaya






Humesha Muskura K Aansooun Ko Chupaya
Ghum Ko Chupany Ka Yahi Rasta Nazar Aaya

Kis Kis Ko Batatey Behtey Ashkon Ka Sabab
Kay Derd-E-Dil Dil Main Kis Nay Jagaya

Mehfilon Main Kahin Bhi Maza Na Raha
Rakha Dil Pay Pather To Khud Ko Sajaya

Baat Bay Baat Apni Aahain Daba Ker
Yaron K Darmiyan Kis Qadar Muskuraya

Na Thi Chah Kabhi Mujahy Mankashi Ki
Jaam-E-Wafa Kisi Bay Wafa Nay Pilaya

Kya Muqadar Say Shikwa Kertey Rahain
Jo Qismat Mein Tha Wohi Kuch To Paaya

Yeh Kis Mor Pay Aagaee Hain Umeedain
Kay Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya

Apno Nay Palat K Dekha Tak Nahin
Ghairon Nay Aaker Galay Say Lagaaya

Acha Hua K Raaz Khul Hi Gaya
Dil-E-Nadaan Pay Khanjar Kis Nay Chalaya

Shab-O-Roz Chahat Sila Yeh Hay 
Dil K Tukrey Huwe Wo Chun’ney Na Aaya

No comments: