Thursday, September 25, 2014

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,





Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash, 
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash, 

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai, 
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon K Liye, 
Yehi Hai Sisakte Sunkatey Marghaton Ki Kashmakash, 

Kayi Gehrey Sawalon Ka Karwan Ho Jaisey Koi, 
Yun Meri Peshani Pay Salwaton Ki Kashmakash, 

Haadsay To Sabhi Nay Dekhey Hongey Sarrkon Par, 
Janta Hai Koi Kya, Jaam Ghaton Ki Kashmakash...!

No comments: