Friday, September 26, 2014

Bohat Mumkin Tha Mere Paoun, Meri Zeest K Kaantey Nikal Jaatey







Bohat Mumkin Tha Mere Paoun, Meri Zeest K Kaantey Nikal Jaatey,
Bohat Mumkin Tha Meri Raah K Pathar Pighal Jaatey,

Jo Deewarein Mere Rastay Mein Haayel Thi Merey Aagey Se Hatt Jaatein,
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey Kohsaaroo'n Ki Taraf Aik Pal,

Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo Se Katt Jatein Bohat Munkin Tha,
Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani Mein Tumhare Paaoo'n K Ujley Kanwal Khiltey,

Rafaaqat Ki Sunehri Jheel Mein Dono K Aks-E-Zofishaa'n Hiltey,
Bus Ik Khawab-E-Musalsal Ki Faza Rehti Hamari Rooh Kab Hum Se Khafa Rehti ?

Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey...!

No comments: