Sunday, December 21, 2014

'Sambhala hosh hai jab se Muqaddar sakht tar Nikla,

Parha hai waasta jisse Wohi teer-o-tabar Nikla,

Sabaq deta raha jo Umar bhar Roshan khayali ka,

Usey jab paas se dekha to Khud bhi tang nazar Nikla,

Samjha kar Zindagi Jisse Muhabbat kar rahe they hum,

Usey jab Chhu kar dekha to Faqat khali Bashar Nikla,

Muhabbat ka Khumaar utra to Tab saabit hua Hm par,

Jisey hum Umar samjhte they Wo Bemaqsad safar Nikla,''
          

No comments: