Sunday, December 21, 2014

'*. . .nasir kazmi. . .*

kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
aye hain is gali main to pathar hi le chalen

yun kis tarah katega kari dhup ka safar
sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen

is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen. . .*'
          

No comments: