'YUN BHI HOWA HEY RAAT KO JB LOG SOGAE
TANHAE AUR HUM TERI YADUN MAIN KHOGAE
AA DAIKH TJH SE LOG JO REHTE THEY DOR DOR
SAEY MAIN TERI ZULF K CHUP CHAP SOGAE
HM WO JO SARE SHEHR K KERTE THE FAISLE
HM LOG TERI CHAH MAIN RUSWA BHI HOGAE'
Wednesday, December 31, 2014
'Mohabat se, inaayat se, wafa se chot lagti hai.
Bikharta phool hoon mjh ko hawa se chot lagti hai.
Meri aankhon mei aansu ki tarha ek raat aa jao,
Takalluf se, banawat se, ada se chot lagti hai.
...Main shabnum ki zuban se phool ki awaz sunta hoon,
Ajab ahsaas hai apni sada se chot lagti hai.
Tujh ko meri mohabat ka andaza nahi shayad
Na kar Ehd E Wafa, Ehd e Wafa se chot lagti hai...'
'Ghaira hay is tarah mujhe wehshat k jaal ne
Sab khwab mere doob gaye is malaal mein
Mujh se nazer chura k guzerne lagi hawa
Ane lagi ju hijer ki khushbo wisaal mein
Hon sa’at e azaab mein kyoun main abhi talak?
Ik umer se ghiri hon isi ik sawaal mein
Bechainiaan tamam hi main us ki oorh lon
Shamil mujhe kare tou kabhi apne haal mein
Main sun rahi hon phir se judayi ki aahtain
Jeena pare na phir se unhi maah o saal mein
Qismat se raah mein ju jazeere humain mile
Tere guman mein the,na mere khayal mein'
'Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,
Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,
hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,
Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,
Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,
Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,
Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,
Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,
Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,
Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna'
'Ik Baar Kar Ke Aitbar Likh Do,
Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do,
Kat’ti Nahi Yeh Zindagi Ab Tere Bin,
Kitna Aur Karoon Intezar Likh Do,
Taras Rahe Hain Barri Muddat Se,
Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhar Likh Do,
Dewane Ho Jaen Jise Parh Kar Hum,
Kuch Aisa Tum Mere Yaar Likh Do,
Zyada Nahi Likh Sakte To Na Likho Tum,
Mohabbat Bhare Lafz 2 Char Likh Do,
Ik Bar Likho Mohabbat Hai Mujhe Tum Se,
Phir Yehi Jumla Baar Baar Likh Do . . . ! !'
'Ho raat akeli pichlay paiher or
Chand gagan main aa jaye,
Tum chand ki manend tanha ho ye baat tumhay tarpa jaye.
Kuch khuwab saja kr palkoun pay
Tum chand say batein kr laina,
Hum yaad tumhay to kartay hain
tumYaad humain bhi ker laina.
Kuch bat na ho jb aisay he
num ankh Tumhari ho jaye,
Tum bat kahi per karty ho,
dil or Kahi per kho jaye.
Jazbat k aisay alam main
Muskan laboun par bhar laina,
Hum yaad tumhe to krtay hain,
Tum yaad humain bhi kr lena..'
'Chiraagh-e-Shab Ko Jese Andhiyan Achi Nahin Lagtin
Kuch Aise Hi Hamen Khush Fehmiyan Achi nahin Lagtin
Jinhen Soney K Pinjrey Mein Ghiza Mil Jaye Chandi Ki
Unhen Phir Umr Bhar Azadiyan Achi Nahin Lagtin
Wo Jin K Dil Mein Dard-o-Gham Ne Dairey Daal Rakhey Hon
Unhen Phoolon Pe Bethi Titliyan Achi Nahin Lagtin
Mera Dil Chahta Hai K Unhein Aaina Dikha laon
Wo Jinko Dosron Ki Khobiyan Achi Nahin Lagtin.....!'
'Tery hisaar se bahir nikal gae hun me
Tu thek kehta he shayad badal gae hoon me
Tujhy khabar nahi kese saraab raasty thy
Khuda ka shukar k phir bhi sambhal gae hoon me
Mere ilawa bhi tujh ko aziz he koi
Zara cee baat par aise hi jal gae hoon me
Yeh paon jaantey hen waqt-e-hijir kaisa he
Qadam qadam kisi patthar main dhal gae hoon me
Utha liya hai sitaron ne aasman sar par
Zara jo chaand ki khatir machal gae hoon me. ~'
'ab SAWAN main TANHA bheego Gey,
Jab AANGAN khaali PAO Gey,
Jab SAHIL say TAKRATI lehroon main,
Apni TANHAI main KHOO jao Gey,
Jab RAAT k TANHA daman main,
Tum CHAND ko AADHA pao Gey,
jab KHUD say BAATAIN krty krty,
Tum DOOR kahin KHOO jao Gey,
Jab DIL ki baat CHUPANAY ko,
Ham say NAZAR tum CHURAO Gey,
Main TUM say MOHABBAT krti hoon,
Har BAAR ye sun_na CHAHO Gey,
In sab LAMHOON main JAAN lena k,
Tum tum nahi "HUM" ban jao Gey.'
'Yeh Sheesha Shouq Hai Aadat Nahi..!
Ye Jazbaat Mitati hai,
To Pita Hoon !
Adhi Raat K Waqt Main Pagal Tou Nahi !
Teri Yad Satati Hai,
To Pita Hoon..!
Is Sheeshay Mein Fazeelat Koi Nahi,
Ye Fiqr Mitati Hai,
To Pita Hon
Mujhey Pata Hai Is sey Mujh Ko Milna Kuch Nahi,
Ye Umr Ghatati Hai,
To Pita Ho..!'
Tery Rukh-e-Rukhsaar pe na Giry kbi
Tery Rukh-e-Rukhsaar pe na Giry kbi koi Aanso0
Khuda Teri har Duaa Tery Haath ki Lakeroon mei likh dy.
Tuesday, December 30, 2014
Main faqat Zindagi se darta hoon
ہر عشق گواہ ڈھونڈتا ہے
Teri Dastan-e-Hayat Ko Likhon Kis Ghazal K Naam se
Tum Laut K Aany Ki Koshish Zaror Karna
PHir NeeND SaY JaaG Kar IDhar UDhar DhoonDTa Hoon Main
Monday, December 29, 2014
Main Bulandiyon Ka Uroog Tha, Mera Kya Taluq Tha Sham Sy.....!
Sunday, December 28, 2014
Apne Dil se nikaal kar mujh ko
Tere honton pe siskiyan Q hain
Zakhum De kar wo mujh se pouchta hai
Tere lehje me talkhiyan Q hain
Hum to kacche makaan k baasi hain
Phir taaqub me bijliyan Q hain
Ishq k Or B musafir hain faraz
Sirf hum par hi sakhtiyan Q hain.'
Saturday, December 27, 2014
Thursday, December 25, 2014
'1. Apne Hue Paraye ZaMane Guzar Gaye,
Dil Par Ye Zakhm Khaye ZaMane Guzar Gaye,
Wo Bhi Bichhad Ke Chain Se Soya Nahi Kabhi
HuMko Bhi Neend Aaye ZaMane Guzar Gaye,
Fursat Agar Mile To Kabhi Mere Ghar Bhi Aa,
Raste Ko Ghar Baneye ZaMane Guzar Gaye,
Sar Pe Meri Dhari Hai Tere GaM Ki Ghathriayan,
Aur Bojh Ye Uthaye ZaMane Guzar Gaye,
Wo to Kisi Ke Pyaar Mein Kho Kar Hi Reh Gayi,
HuMko Bhi Hosh Aaye ZaMane Guzar Gaye,
Kitne Hi Dukh Hai Jo Kabhi Mai Keh Nahi Saka,
Is Dukh Ko Bhi Chhupaye ZaMane Guzar Gaye'
'Marti hui zameen ko bachana para mujhe
Badal ki thara zameen pe ana para mujhe
Us ajnabi se hath milane ke waste
Mehfil main sab se hath milana para mujhe
Wo kar nahi raha tha meri bat ka yaqeen
Phir yun hua ke mar ke dikkana para mujhe
Bhule se meri taraf koi dekhta na tha
Chehre pe ek zakham lagana para mujhe
Us bewafa ki yaad dilata tha bar bar
Kal aaine pe hath uthana para mujhe
Aise biched kar usne mar jana tha
Uski nazar main khud ko girana para mujhe'
'Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…'
'Udaas Logon ki Bastion mein.
Wo Titlion ko Talash Kerti..
Wo Aik Larki..
Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain..
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain..
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..
Wo Aik larki..
Wo Mohabbaton K Nisaab Janay..
Wo Janti Hai Ehad Nibhanay..
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..
Wo Aik Larki..
Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay..
Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay..
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..
Wo Aik Larki'
'Roz-o-Shab yun na aziyat me guzare hote
Chen ajata agar khel k hare hote
Khud se fursat hi mayasar nai ai wrna
Hum kisi or k hote to tumhare hote
Tujhko b gham ne agar theek se barta hota
Tere chehre pe khad-o-khaal hamare hote
Aik b moj agar hamari hamayat krti
Mene us paar kai log utaare hote
Lag gai or kahin umar ki ponji wrna
Zindgi hum teri dehliz pe haare hote
Kharch ho jate isi ek mohabat me Faraz
Dil agar or b seene me hamare hote.'
'MOHABBAT Ki bat mat kijiye MJH acha nhi lagta
k ab kisi ki mohabbat pe aitabar kerna mjh acha nhi lgta
apno se barh k chaha tha jise maine
syahd is tarha se chahna kisi ko acha nhi lagta
guzar jayen jo din wo wapis nhi aty
ekin un dino ko yad kerna mujh acha nhi lagta
mjh maloom hai wo shaks kitna bewafa tha
kis ki ko bewafa kehna mjh acha nhi lagta
zakham to bohat diye hain usne mujh
zakhum hum b dete magr acha lgta'
'Do pal ke haseen khwaab,
Do dil ke fasane,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Saanson ki mehak unki,
Mohabbat se kahi hr baat,
Mashook bari zalim thi,
Bari qaatil hai unki yaad,
Bhoole bichare woh waade,
Kache dhaagon si woh kasmein,
Do pal ke the saare,
Na Hue kabhi woh apne,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Do pal ke haseen khwab,
Do dil ke fasaane.'
'na gila kiya na khafa hoae
you hi raste me juda hoae
na wo bewafa tha
na main bewafa jo guzar so guzar gya
wo aik ghazal ki aik kitab tha
wo guon me aik gulab tha
zara dair ka koi khwab tha
jo guzar so guzar gya
wo udas dhop smeit ker kahin wadion me utar gya
use ab na de mere dil sada
jo guzar gya so guzar gya
ye safar b kitna tavee hai yaha waqt kitna qaleel hai
kaha lot ker koi ayega jo guzar so guzar gya'
'Aasaan nahi dard-e-dil ko manana,
Pareshaan yoon hi kisi ko na karna,
Tanha na rehati yeh raatein humari,
Jab us anjaane ki tasveer bandh
NIGGAHON mein hai raheti.
Bandh NIGGAHON ki dehleez par aansoon ki dariya behati hai,
Jab haalate dil jubaan par bayaan ho jaati hai,
NIGGAHON mein udaasi ki diye jal uththi hai,
Nainoon ke sagar me hum khud bhi doob jaate hai,
Diya hi kya hai bechaini o beqarari ki siwa hum,
Kaise kahoon is NIGGAHON ki gulshan-e-bahar ke haqdaar ho tum,
Kaise kahoon mere haathon ki lakiroon mein bas tera hi naam hai.
Kaise bayaan karoon meri NIGGAHON me tere hi suroor chaya hai,
Kaise kahoon yeh surma-e-singgaar adhura rahega jab tak na milein
hamari nazaroon se nazar,
Kaise kahoon yeh haqeekat to hum ne apni hi NIGGAHON ke andaaz se'
'Raat Din Hijr Ki Wehshat B Nahi Rakhni Hai,
Kisi se Ab Itni Mohabat B Nahi Rakhni Hai,
Jis Ka G Chahey Humain Torr K Tukry Krdey,
Is Qadar Narm Tabi'yat B Nahi Rakhni Hai,
Ik Do Saal K Rishton Se Humain Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat B Nahi Rakhni Hai,
Jin Se Bichrain To Sambhalney Mein Zamanay Lag Jaien,
Aisey Logon Se Muraw'wat B Nahi Rakhni Hai,
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai, Qeemat B Nahi Rkhni Hai.'
'Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi?
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi?
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi?
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi?
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi'
'Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.'
'USEY ITNA BTA DENA...!!
Main Us se door ho kar B,
BOht mjboor ho kar B,
Dukhon se choor ho kar B,
Usi ko yaad krta hon,
USEY ITNA BTA DENA
Main dukh apne chhupa kar B,
Khushi k geet ga kar B,
Hnsi honton pe saja kar B,
Usi ko yaad krta hon,
USEY ITNA BTA DENA
Jahan k ghmon main kho kar B,
Main D!L k daagh dho kar B,
Kisi k pass ho kar B,
SIRF USI KO YAAD KRTa.'
'tere talkh lehjay mein chupa ik narm lehja tha
jisay jana jisay samjha
sirf main ne
tera masoom sa chehra gehri khamosh c ankhein
kabi karti thin bohat batein
jinhein samjha jinhein chaha sirf main ne
teri suljhi hoi zulfein
mujay uljaye rakhti thin
wo pichli raat k ik pehr
jub main ne tum se pocha tha
kiya tum ne muj ko samjha?
kiya tum ne muj ko jana hai?
ye jo bholpan mera
ye kuch khas c batein
kiya tum ko achi lagti hain?
to tum ne muj se bola tha
main pagal hon
main pagal hon'
'Wohi Raaton ki bedaari hai ab tak,
Tamanna ka safar Jaari hai ab tak,
Khayal_e_zabt aur tark_e_talluq,
Yehi pathar bohat bhari hai ab tak,
Akeli Chandni Raaton main dil ko,
Sulag uthney ki beemari hai ab tak,
Abhi pichley dinon jo ham pe guzri,
Ussi Rut ka Nasha taari hai ab tak,
Badan se ho k jo Roohon me utri,
Ussi qurbat ki sarshari hai ab tak,
Main hijrat kar to loon man¡ chaman se
Parindon se meri yaari hai ab tak..'
'*"* Gulshan M Thy To Ronak E Rang E Chaman Bne, Jangal M Hm Amanat Bad E Saba Rhy,
*"* Surkhi Bne To Khun E Shahidan Ka Rng The, Roshan Hwe To Mishal E Rah E Wafa Rhy
*"* Ubhre To Hr Bhanwar Ka Jigar Chak Kr Gae, Thehre To Mauj Mauj Ko Apna Bna Rhy,
*"* ALI dar E Nigar P Dastak Hi Dijiye, Us Be Karan Sakut M Kuch Ghalghala Rhy'
'*"* Us N Hal Pucha To Yad Hi Na Ata Tha, Kisko Kis S Shikwa Tha, Kis S Kya Shikayt Thi,
*"* Dasht M Hawaon Ki Be Rukhi N Mara H, Shehr M Zamane Ki Puch Guch Thi,
*"* Yon To Din Dihare B Log Lut Lete Hen, Lekin Un Nigahon Ki Aur Hi Siyast Thi,
*"* Hijar Ka Zamana B Kya Ghazab Zamana Tha, Aankh M Samandar Tha, Dhyan M Wo Surat Thi'
'Kisi b morr ya phir kisi
aglay parraow per..!
Juda hi humko
hona hai to phir aao!
Yahin apnay asaason
ko alag kr lain!
Ye jitnay zakhm
DIL per hain!
Idher meri taraf kr do
K tum aksar ye
kehtay thay
Ye sub meri
badolat hain
Magr Theh'ro
zara Theh'ro
Yahan kuch
khwab bhi hon gay
Jo mil k hum ne
dekhay thay
Suhanay khwab
tm rakh lo
Adhoray sub
mujhay dedo
K meri youn bhi
adat hai
Mujhy TOOTI hoi
Cheezon se ik
benaam
raghbat hai'
'Ajab takazy hain chahaton k,
Bari kathan ye musafatain hain,
Main jis ki rahon mein bich gaya hon,
Usi ko mujh se shikaytain hain,
Shikaytain sub baja hain laikin,
Main kaisy us ko yaqeen dilaon?
Jo mujh ko jaan se aziz tar hai,
Usay bhulaon tu mar na jaon,
Main is khamoshi k imtahan mein,
kahan kahan se guzar gaya hon,
Usay khabar bhi nahin hai shayad,
main dheeray dheeray Bikhar gaya hoon. Yasir
Gur{\/}ani'
Wednesday, December 24, 2014
Tuesday, December 23, 2014
'Roz o shab yun na aziyet mein guzare hote,
Chain aa jata agar khel k haare hote,
khud se fursat hi muyassar nhi ayi wrna,
Ham kisi or k hote to tmhare hote,
Tuj ko bhi gham ne agr theek se barta hota,
Tere chehry pe bhi khad o khal hmare hote,
Aik bhi mouj agr hmari hamayat karti,
Main ne us par kai log utarey hote,
Lag gai aur kahen umr ki poonji wrna,
Zindgi ham teri dehleez pe hare hote,
Kharach ho jate isi aik mohabat me MOHSIN,
Dil agar aur bhi seeney mein hmare hote.'
'GHAZAL
Kabhi Tum Mujhe Qareeb Se Aa K Dekhna
_
Aise Nahi Zara Or Paas Aa K Dekhna
_
Main Tum Se Kitna Pyar Karta Hoon
_
Mujhe Kabhi Seene Se Laga Kar Dekhna
_
Main Tujhe Ashko Ki Qataar Main Nazar Aaunga
_
Meri Yaad Main Kabhi Aansu Baha K Dekhna
_
Main Tujh Pe Jaan B De Donga
_
Meri Wafa Ko Kabhi Aazma K Dekhna
_
Meri Ghazal Parh Kar B Tum Par Asar Na Ho To
_
Logo Ko Meri Ghazal Suna K Dekhna..!!'
'"MERA ASASA"
Kuch Wady Qasmein, Yaadein Thein,
Kuch Qehqahy Thay,Faryadein thein,
Kuch Aansoo Thay, Jo Bahaye Thay,
Kuch Dhoky Thay, Jo Khaye Thay,
Kuch Lehjon Ki Parchhaiyan Thein,
Kuch DiL Ko ROG Lagaye Thay,
Ab Paas Hamary Kuch B Nhi,
Ab Aas K Maary Kuch B Nhi,
Bs...
Yaadon ki Zanjeerain
Hein,
Kuch Rang Urri Tasveerain Hain,
Kuch Lafz Miti Tehreerain hein,
Ek DiL Jo Deed Ka Pyasa Hy,
Bs Yehi "MERA ASASA" Hy......!!'
'jalty honton py tabassum jo machalta hai kbhi..
zakhm dhul jaty hain sawan jo barasta hau kbhi..
mainay socha mai taraashe hain khado khal tery..
mery bary me bta tu ny bhi socha hai kbhi..
charhty suraj sy kbhi tu by melai hay nazar?
tu ny kirno ki tarf say ghor sy dekha hai kbhi?
log pathar men khilaty hain umidon k gulab...
yun b mumkin hai bta aisa bhi hota hai kbhi?
tu ny samjha tha k men lot k aa jaonga
Ankh say bichra hua askh bhi lota hai kbhi????'
'Choom Kr Mad Bhari Aankhon Se Javabi Kaghaz,
Us Ne Bheja Hai Mere Naam Sharabi Kaghaz,
Us K Haathon Main Gu£abon Ki Mehak Hai Shayad,
Us K Chhooney Se Hua Sara Gu£abi Kaghaz,
Us Ka Khat Patay Hi Mai'Khaney Ki Yaad Aati Hai,
Kahin Mujh Ko Bhi Bna Dey Na Sharabi Kaghaz,
Kahin Me Us Ka
Pata Bhoo£ Na Jaon Gha£ib,
Mujh Ko £ikhta Hai Vo Hr Baar Javabi Kaghaz...'
'Abhi Tum Beth Jao Na!
Bohat C Baat Baqi Hai,
Merey Ha£aat Baqi Hen,
Abhi Jazbaat Baqi Hen,
Suno! Tm Q Statey Ho!
Mujhy Kitna Ru£atey Ho!
Mujhy Tum Se Mohabbat Hai!
Mujhy Q Aazmatey Ho?
Tum Hi Ko Yaad Krtey Hen,
Tum Hi Ko Pyar Krtey Hen,
Meri Tou Zindagi Tum Ho!
Smajh Tum Q Na Patey Ho?
Meri Tou Hr Khushi Tum Se,
Meri Tou Zindagi Tum Se,
Meri Har Aarzöo
Tum Se,
Mujhy Tum Q Statey Ho. . .???'
'Haqeeqat Jan Kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai..
Bhala Be-faiz Logon Se Mohabbat Kon Karta Hai..
Batao Jis Tijaarat Mein Khasara Hi Khasara Ho!
Bina Soche Khasaare Ki Tijaarat Kon Karta Hai..
Humein Hi Ghalat Fehmi Thi Kisi K Waste Warna!
Zamaane K Riwaajon Se Baghaawat Kon Karta Hai..
Khuda ne Sabar Karne Ki Mujhe Tofeeq Bakhshi Hai!
Arey Jee Bhar K Tarpao Shikayet Kon Karta Hai..
Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai!
Magar Is Daor Mein .HmDm, Ye Zehmat Kon Karta Hai.?'
'teray shanay pay kabhi rakh k yae sar so jatay
roz-o-shab apnay bas aisay hi basar ho jatay
khud numai ka humain shok nahin tha verna
iss tarha jaan lutatay k amar ho jatay
raigzaar-e-gam-e-jana ko basanay k liye
iss qadar ashk bahatay k behr ho jatay
jaan-e-bay faiz ko tasleem nahin tu nay kia
verna sad shok say hum taeri nazar ho jatay
tu sadaf hai humain tasleem hai yae baat mager
saath milta jo tera hum bhi guhar ho jatay
tu kabhi rab say humain mang k takta to sahi
hum teri sari duaoon ka asar ho jatay.'
'Bare anjan mosam mein
Bohat be-rang lamhoñ mein
Bina ahat bina dastak
Bohat masoom sa sapna
Utar aya hai ankhoñ mein
Bina soche bina samjhe
Kaha hai dil ne chupke se
Iss nanhe se spne ko
Ankhon mn jagah de do
Bina roke, bina toke
Hamesha ki tarah ab b
Bina uljhe, bina bole
Jhuka diya ha sar ham ne
Magar tabeer kia ho gi?
Ye hm jaanen na dil jaane
Bas maloom ha itna
K DIL K FAISLE AKSAR
HAMEIN KAM RAAS AATE HAIN.........'
'Zakhm_E_tanhai mein khushbo_E_hina kis ki thi,
Saaya diwar per mera tha Sada kis ki thi,
Us ki raftar se lipti rahi ankhen meri,
Us ne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi,
Aansuon se hi bhar gaya daaman mera,
Hath to maine utthaye thay DUA kis ki thi,
Meri Aahon ki zubaan koi samjhta kaise,
Zindgi itni dukhi mere siwa kis ki thi,
Aag se dosti us ki thi jala ghar mera"JAN",
De gaye kisko saza aur khataa kis ki thi..
SAQI'
'Kabhi Aa Jao Tum Pal Bhar Ko
Mujhe Tum Se Baatain Karni Hain..
Kuch Gham Ke Geet Sunanay Hain
Kuch Raaz Hain Jo Batlanay Hain
Kuch Dil Ko Yaar Behlana Hy
Kuch Zakham Hain Jo Dikhlanay Hain
Kuch Dil Sy Yaadein Dhoni Hain
Kuch Naaty Naye Banany Hain
Jo Shair Likhey Hain Teri Furkat Mein
Kuch Shair Tumhy Woh Sunany Hain
Kuch Dard Sunany Hain Dil Ke
Kuch Pyaar Ki Baatein Karni Hain
Kabhi Aa Jao Tum Pal Bhar Ko
Mujhy Tum Se Baatein Karni Hain..!'
'Tu jo bichhra to sunsaan nagar lagta hai,
Hai shehr apna anjan magar lagta hai...
Khof-e-tanhai hai mujh pe mussalat aise,
Dil dhrakta hai to dharkan se b dar lagta hai...
Na koi rasta hai na koi nishan-e-manzil,
Bin tere zindgi ik aisa safar lagta hai...
Aa zra dekh sahi mere ghar ka aalam,
Tu nhi to veeran khandar lagta hai...
Dard ahbaab se itnay mile hain "WASI""
Ab to apne hi saye se dar lagta hai..'
'="GHAZAL"=
Wo ìshq bån k meri Chashm-e-Tar mein rehta hai,
Ajab shakhs hai pani k ghar mein rehta hai,
Main muddaton se usi be-khabar ka hoön,
Wo ek shakhs jo dil k nagar mein rehta hai,
Akela reh k B Main Akela nahin hota,
Ye dil hamesha Usi k shehar mein rehta hai,
Bula lein gay hum B Aik shab usko,
Suna hai Ab wo isi shehar mein rehta hai,
Bhöol jayen usay gar to mar hi jayen gay,
Log kehtay hain k wo mry rag rag me rehta hy.'
'Usay Ye Kehna K Roz o Shab Ka, Safar Be Tanha Guzar Raha Ha
Wo Dil Jo Tere Li'ey Bana Tha, Teri Talab Say Mukar Raha Ha
Meri Muhabbat Ki Band Aankhai'n, Teray Jaganay Say Khul Sakai'n Gi
Wagrna Ye Dil, Muhabbto'n K, Wajood Say Hi Mukar Raha Ha
Wo apnay Hatho'n Pay Aaj Mehndi, Laga K Kitni Udaas Ho Gi
Wo Sochti To Zaroor Ho Gi, Koi Usay Yaad Ker Raha Ha
Kabhi To Socho, Tumharay Aanay Pe, Jo Dewana Sa Ho Gaya Tha
Wo Kya Abhi Tak Wahi'n Khara Ha? Wo Jee Raha Ha? Ke Mer Raha Ha
Wo Kal Mila Tha, To UsKi Aankho'n Me'n, wehshate'n Raqs Ker Rahi'n Thi'n
Woh Qatra Qatra Pighal Raha Ha, Woh Zara Zara Bikher Raha Ha
Udaas Logoo'n Ki Mehfilon Me'n, Nayi Kahani Koi Suna'ey
Koi Bata'ey, Ke Itna Arsa, Wo Kis Tarf Tha? Kidher Raha Ha'
'Hath Khaali hain Tere Shehr Se Jatay Jatay,
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jatay,
Mujhe Se Pehle Bi Musafir Kayi Guzray Hon Gy,
Kam Se Kam Raah K Pathar To Hatate Jatay,
Mujhe Rone Ka Bi Saliqa Nahi Aata Shayed,
Log Hanstay Hain Mujhe Dekh K Aatay Jatay,
Main Bi Majboor Tha Main Ne Usey Roka Bi Nahi,
Wo Dekhta Raha Mur K Mujhe Jatay Jatay,,,,'
'(GAZAL)
Ae waqt zara to tham ja, Mujhe yaad "KISI" ko kerne dy,
Mujhe "peyar" hai ik "SUNG DIL" say, Jo koi "BAAT" mujhay na karne dy,
Na apny "PAS" wo aany dy, Na khud se "DOOR" wo jany dy,
Na "DIL" ko apny pas rakhy, Na aur kisi ka "HONY" dy,
Her waqt mujhe "WO" yaad aay, Phir "DIL" se ik aawaz aay,
Ye kaisi "CHAHAT" hai us ki, Jo "JEENY" de na "MARNY" dy...!'
'Q Rakhte Ho
is Tarah Mera KhayaL K Ab,
K Ab Har Lamha Udaas Rehne Ko G Krta H,
Q Maante Ho Her ek Baat Ko Meri K Ab,
K Ab Tum Ko Tumhe Se Maangne Ko G Krta H,
Tum Jo Chalo Saath To Koi Shikwa Nhi Zindgi se K Ab,
K Ab To Kantoon Pe b Chalne Ko G Krta H,
Darr h K is Safar Main Tanha Na Reh Jaon K Ab,
K Ab Umar Bhar Tera Sath Nibhane Ko G Krta H..!
Gaman me gum sum'
'Milte Nhi Ab Loog Mulaqat Ki Khatir
Milte Hain To Milte Hain Mafdat Ki Khatir
Wo Rat B Inkaar Ki Soli Pe Kati Hy
Ik Umar Tarapte Rahe Jis Rat Ki Khatir
Shanaai Baji B To Kisi Aur K Dar Pr
Hum Ghar Ko Sajate Rahe Baraat Ki Khatir
Wo Hath Jo Mhenat K Paseene Mein dhulay Hain
Phelay Hain Na Phelaaon Ga Khairaat Ki Khatir.'
'(*POET : Muhammad Waqar*)
Usne palkon Tale jo Zoq-e-HAYA Rakha hai,
Kia Btain Tumhain Kiya Husn chupa Rakha hai,
Ik pal bhi na Muyassar hua surat ka nazara,
Usne is Tarz se chehre ko Chupa Rakha hai,
Uski wo Jheel si,Wo Neel si Purnam Ankhein,
Jese Daryaon ko Nainon mein Basa rakha hai,
Yun kai chehre sar-e-rah to aese bhi mle,
Jisne Dil walon ko Diwana bana rakha hai,
Par us parda nashin ka kiya btain tum ko,
Jis k Parde ne mujhe Pagal sa bana rakha hai,
Usne jo Husn-e-Rida Khud ko bana rakha hai,
KIYA BTAIN TUMHAIN KIYA HUSN CHUPA RAKHA HAI,'
'Sambhala hosh hai jab se
Muqaddar sakht tar Nikla,
Parha hai waasta jisse
Wohi teer-o-tabar Nikla,
Sabaq deta raha jo Umar bhar
Roshan khayali ka,
Usey jab paas se dekha to
Khud bhi tang nazar Nikla,
Samjha kar Zindagi Jisse
Muhabbat kar rahe they hum,
Usey jab Chhu kar dekha to
Faqat khali Bashar Nikla,
Muhabbat ka Khumaar utra to
Tab saabit hua Hm par,
Jisey hum Umar samjhte they
Wo Bemaqsad safar Nikla,'
'*"* Meri Zindagi Ka Diya Bujha Raha Hai, Aahista Aahista,
*"* Shayd Mujhe Chorne Ka Koi Soch Rha H, Aahista Aahista,
*"* Mera Dil Hai Aabad Uske Naam Sy,
*"* Par Wo Mera Naam Mita Rha H, Aahista Aahista,
*"* Mera Dil Rehta Hai Udas Us K Bina,
*"* Par Wo Rehny Laga Hai Khush Mery bina, Aahista Aahista'
'*"* Muhbt Is Tarah Jaisy Gulabi Titliyon K Par,
*"* Muhbt Zindagani Ki Jabeen E Naz Ka Jhumar,
*"* Muhbt Aarazo K Seep Ka Anmol Sa Gohar,
*"* Muhbt Aarazu Ki Dhup Ki Chadar,
*"* Muhbt Hy Tery Gaysu Teri Palken Teri Aankhen,
*"* Muhbt Teri Khamoshi Muhbt Hen Teri Baten,
*"* Muhbt Hy Tumhary Hijr Ki Wasl Ki Raten,
*"* Muhbt Hy Teri Dharkan Muhbt Hen Teri Sansen,
*"* Muhbt Teri Khamoshi Tmari Baat Jesi Hy ,
*"* Muhbt Ko Agr Samjho To Apni Zaat Jaisi'
'*"* Ruton K Sath Dilon Ki Wo Halaten B Gain, Hawa K Sang Hwa Ki Amanten B Gain,
*"* Tere Kahe Hwe Lafzon Ki Rakh Kya Cheren, Hmare Apne Qalam Ki Sadaen B Gain,
*"* Jo Aae G M Pukaro Mujhe, Mgr Yun, K Uske Sath Hi Us Ki Muhbten B Gain,
*"* Ajeeb Mor P Thehra H Qafila Dil Ka, Sakun Dhundne Nikle The Wehshaten B Gain,
*"* Ye Kesi Neend M Dube Hen Admi ALI, k Har Thak K Gharon S Qayamaten B Gain'
'*"* Guzr Gya Jo Zamana Usy Bhula Hi Do, Jo Naqsh Bn Nhi Skta Usy Mita Hi Do,
*"* Khule Ga Tark E Ta'aluk K Bad Bab E Fana, Ye Aik Akhri Parda B Ab Utha Hi Do,
*"* Ruki Ruki C Hawa H Thaka Thaka H Chand, Wafa K Dasht M Hairan Khara h Rahi, do,
*"* Guzr Rha H Jo Lamha Usy Amar Krlen, M Apne Khun S Likhta Hon, Tm Gawahi Do,
*"* Kisi Tarah S Taghafil Ka Bab E Shak To Khule, Nhi M Pyar K Qabil To Kuch Saza Hi Do,
*"* M Kainat Ko Gham S Nijat De Donga, Meri Girift M Ik Din Agr Tabahi Do'
'*"* Kis Qadar Zakhm Zakhm Chehra H, Chand B Aadmi Sa Lagta H,
*"* Iske Dil M B Chor H Shayd, Wo B Nazren Jhuka K Guzra H,
*"* Is Taraf M Hon Us Taraf Tm Ho, Bich M zindgi Ka Mela H,
*"* Zar Ki Afrat Hogai H Buht, Hr Ghari Dil Ka Bhao Girta H,
*"* Jaisy Sach much Usy Buht Gham Ho, Is tarah Us Ne Hal Pucha H,
*"* Is Qadar Mehrban H Dunia, Zinda Rehna Azab Lagta H,
*"* Tm N Acha Kya Jo Laut Aae, Barishon K Safar M Khatra H'
'Guzr Gain Hen Jo Raten Unhen Guzrna Tha,
Agr H Farq Wisaal O Firaaq Men, Kya Hai,
Khabr Tumhen B Nhi H, Mujhe B Ilm Nhi,
Mgr Ye Kask H?
Hwa Ka Rang Darkhton P Harf Likhta H,
Sakun K Harf k Jaisy Safar Tamam Hwa,
Misaal E Mauj E Shikasta, Faraz E Sahil Pr,
Kuch Aisy Thak K Giry Hen K Jaisy Jazar Ka Hath,
Karega Ab Na Talatm S Aashna Hmko,
Mgr Ye Kasi Chamak H?
Kahin Nhi H Thikana Hwa E Sehra Ka,
Ye Jis Parao Ko Manzil Samjh Rhy Hen Hm,
Isy B Raig E Rawan Ki Misal Hona H,
Ye Aik Lamha E Paraan B Titliyon Ki Tarah,
Hatheliyon P Faqt Rang Chor Jaega,
Tery Jamal K, Mery Fishar E Shauk K Rang,
Galu E Ehl E Muhb, Nishan E Tauq K Rang,
Hr Aik Khwab Ka Jadu H Aankh Khulne Tk,!
Hazar Paa H Jo Khawahish Guzer Paa Hogi,
To Kyn Na Hm Usi Jadu Ko Jawadan Krlen!
Hatheliyon M Chupa Kr Bhatakty Rangon Ko,
ISI WISAAL K LAMHON KO BEKARAN KRLEN !'
'*"* Waqt S Kon Kahe, Yar Zara Aahista,
Gar Nhi Wisal To Ye Khwab E Rafaqt Hi Zara Der Rahe,
Waqfa E Khwab K Paband Hen,
Jb Tk Hm Hen !!!
Ye To Tuta To Bikhar Jaen Sary Manzar,
*"* TERGI ZAD KO SURAJ H FANA KI TA'ALEEM*"*
Heest Aur Zeest K Mabain Agr,
Khwab Ka Pul Na Rhe,
Kuch Na Rhe,
Wakt S Kon Kahe,
Yar, Zara Aahista !'
'*"* Tm S Bichar Kr Pehron Sochta Rhta Hon, Ab M Q Aur Kiski Khatr Zinda Hon,
*"* Ay Khamosh Khala K Malik Teri Qasam, Bazm E Jahan M Tujh S Zyada Tanha Hon,
*"* Jiti Jagti Dunia K Hangamon M, Yun Lagta H Jaisy M Ik Saya Hon,
*"* Khoya H Wo Jaisy Hath Lakiron M, Aisy Apne Hath Ko Takta Rehta Hon,
*"* Reza Reza Tut Chuka Hon Andar S, Ghar S Bahr Gardan Taan K Chalta Hon,
*"* Jane Jis Ka Naam H ALI kon H Wo, Such Pucho To M Ik Jhuta Chehra Hon'
'~GAZAL~
~Apni "KHAM0SH" Zindagi Me Bulana Mujh ko
~Apne "HASEEN" Khuwabon ki Tabeer Banana Mujh ko
~Main J0 pochun Tumhara
"HAAL-e-DIL"
~t0 Apni Har "DHARKAN" Ki Awaz Sunana Mujh ko
~Main Jo Kabhi "ROOTH" Jaun Tum Se Agar
~t0 Bohat "PYAR" Se tum Manana Mujh ko
~jo Kabhi ho "DIL" Me tumhare Hasrat koi
~Bila Jhijak Apni Har "HASRAT" Batana Mujh ko
~jo ho Jao "ZINDAGI" Me Tanha Kisi Pal
~to Apni Pyar Bhari "AWAZ" Se Bulana Mujhko...'
'*"* Jo Be Wafa Ho Usy Be Wafa Kahen Khul Kr, Hadis E Chashm O Lab E Sokhta Kahin Khul Uthen,
*"* Kahan Talak Ye Takalam Zamana Sazi K, Pas E Kalam H Jo Kuch Zara Kahin Khul Kr,
*"* Khunk Khunk Si Hnsi Hns K Mil Rhy Ho Kyn! lahu H Sard To Aankhen B Munjamand Krlo,
*"* Jo Dil M Dafan H, Chehron P Ishtihar Kren, Alam Shumar Kren, Dard Aashkar Kren'
Monday, December 22, 2014
Fursat Mile To Yaad Kar Lia Karo,
Phir Ek Mauj Usy Khinch Le Gayi Tah-e-Aab....*
Mohabbat Faasl0'n Ki Qaid Mein Hai
Bas ik meri bat nahi thi,
'Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan ko!
Unhi Masoom Khushiyon ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!
Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!
Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!
Jaha Bus Muskrahat Thi!
Baharein Hi Baharein Thi!
K Jub Sawan Barasta Tha!
To Us Kagaz Ki Kashti Ko!
Bana'na Aur Duba Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!
Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha..
Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan ko!'
Sunday, December 21, 2014
'Roz taaron ki numaish me khalal parta hai,
Chand pagal hai andhary me nikal parta hai,
Aik deewana musafir hai meri ankhon me,
Waqt be-waqt Thehr jata hai chal parta hai,
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab,
Roz suraj ki tarha ghar sy nikal parta hai,
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhtay hain,
Roz sheeshon sy koi kam nikal parta hai,
Us ki yaad aai hai sanso zara ahista chalo,
Dharkano say bhi ibadat mein khalal parta hai...'
'*. . .Chalo Tumko Milata Hon Me Us Mehman Sy Pehly,
Jo Mery Jism Me Rehta Tha Meri JAN Sy Pehly,
Koi Khamosh HoJaye To Uski Khamoshi Sy Drr,
Samandar Chup Hi Rehta Hy Ksi Tufan Sy Pehly,
Mujy G Bhr K Apni Mot Ko To Dekh Leny Do,
Nikal Jaye Na Meri JAN Mery Arman Sy Pehly,
Meri Ankhon sy behty Motiyon Ka Silsla Dekho,
Yeh Mala Toot Jati Hy TERI MUSKAN Sy Pehly. . .*
;=;=;=;=;=;=;=;=;=;=;
R o C k s
;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;'
'Khush Gawaar Mausam Ke
Khush Gawaar Yaadain Hain
Tere Sang Beetay Huween
Be-shumaar Shaamein Hain
Waqt Urta Pancchi Hai
Haath Mein Nahin Aata
Khush Gawaar Lamhon Ke
Be-qarar Yaadein Hain
Din Ke Roshni Hogi
Subah Hum Bhi Dekhen Gay
Abhi Meri Aankhon Mein
Be-shumar Raatein Hain ...
Badalti Ruto'n Say Ghabra Kar
Aanso'on Say Tang Aa Ker
Bass Itni Si Baat Karan
Hum Tujhy Hi Yaad Karan
Khush Gawar Mousam Main
Khush Gawar Yaadan Hain..'
'*. . .Milan. . .*
Pagal Ladki,
Bahut Lamhe Main Ne,
Tere Hejr Mein,
Tadap Tadap Kar,
Guzaare Hain,
Kitne Mausam Main Ne,
Aankhoon Mein,
Intezaar Ke Buney Hain,
Ab Tumhen Apne,
Qareeb Pa Kar,
Ehsaas Milta Hai,
Yeh Un Hejr Ke Lamhoon Ka,
Samar Hai,
Yeh Meri Tadap Ka,
Haasil Hai,
Aur Mere Hejr Ke,
Mausamoon Ka,
Milan Hai. . . . . .*'
'*. .GHAZAL. .*
Khushiyon ki tärhä meri här säns men
Pyär äpnä bäsäny kä wädä käro
Räng jitny tumhäri mohäbbät k hain
Mery dil main säjäny kä wädä käro
Hai tumhäri wäfäon pe mujh ko yäqeen
Phir b dil chähtä hai mery dil näsheen
Youn hi meri täsälli ki khätir zärä
Mujh ko äpnä bänäny kä wädä käro
Sirf läfzon sy iqrår hotä nähi
Ik jänib sy hi pyär hotä nähi
Mäin tumhäin yääd räkhne ki khäoon käsäm
Tum mujhy nä bhuläny kä wädä käro. .*
rocks. .*'
'*. .Main Kya Likhon. .*
Main Kya Likhon
Ke Waqt Saath Na De
Main Kaisay Likhon
Ke Likhna Mujhe Nai Yaad Aata
Main Kis Ki Yaad Mein
Likhon
Kahan Talak Likhon
Yeh Soch, Fiqar
Yeh Ehsaas-e-Aagai Mera
Yeh Lafz Saath Na De Payen Ge Mera Shayad
Kabhi Haqeeqat-e-Izhaar Ke Marahil Mein
Yeh Janti Hon Ke Main
Sochti Rahongi Magar
Woh Rah-e-Wane Wafa
Par Kar Chuke Hon Ge
Wafa Ki Manzil Dushwar
Mere Aane Tak. .*
RõçKs.*.*.*.*.*.*'
'*. . .Sirf itna hi to kaha hai muhbt hai tum se,
Jazbaat ki koi numaish nahi ki,
Muhbt k badle sirf muhbt maangi hy,
Rishtay ki to koi guzarish nahi ki,
Chaho to beshak tum bhula dena hamen,
Dil se sada yaad rakhne ki sifarish nahi ki,
Khamoshi se toofan seh lete hain jo,
Un baadlon ne izhar ki barish nahi ki,
Tumhen maana hai sacha dost apna
Ay dost aur to kisi cheez ki khawahish nahi ki. . .*
_.-"r_.-"o_.-"c_.-"k_.-"s_.-"'
'*. .Dosti Ka Samandar. .*
Dosti Ka Ek Samandar,
An-Gint Saahil Wafa K,
Apne Seene Main Chupaaye,
Jaane Kab Se Beh Raha Tha,
Dafatann Ek Mouj Obhri,
MoOtiyon Ki Shakal Main,
Dhalte Huye Jumle,
Khud Ba Khud Dil Se Uthhe,
Lab Tak Aa Gaye,
Dil Ka Har Ek Bojh,
Lafzon Ne Uthaya,
Fikar Ka Har Lamha,
Ek Jumle Se Takraya,
Aur Bikhar K Kho Gaya,
Ghamm Ka Reza Reza,
Kuch Baaton Ki Roo Main Beh Gaya,
Dosti Ka Samandar Dheh Gaya. .*
4 u
RõçKs.*.*.*'
'*. .Wo Shaam. .*
Wo Shaam Kitni Ajeeb Thi
Aur Ajeeb Thiin Wo Saa'aten
Jab Mehndi Rachhe Haathon Main
Wo Sir Par Pili Shaal Liye
Mujh Se Milne Aaii Thi
Us K Honton Ki Tharthraht
Aur Aankhon Main Larazte Moti
Jo Gawah The Uski Wafaaon K
Meri Jafaaon K
Wo Achanak Challak Prhe
Phir Wo ToO Chali Gaii
Kuch Kahe Bina
Kuch Sune Bina
Magar Main Barri Dair Talak
Udaas Apni Dehleez Par
Gire Un Aanso'on Ko Taktaa Raha
Jo Asasa Tha Meri Muhbbat Ka
Meri Chaahat Ka
Wo Shaam Kitni Ajeeb Thi
Aur Ajeeb Thiin Wo Saa'aten. . . .*
;=;=;=;=;=;=;=;=;=;=;
R o C k s
;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;'
'*. . . .Sun Li Jo Khuda Ne Woh Dua Tum To Nahin Ho,
Darwaaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahin Ho,
Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani,
Soyi Hui Kaliyoon Ki Haya Tum To Nahin Ho,
Mehsoos Kiya Tum Ko To Geeli Hui'n Palken,
Bheege Hue Mausam Ki Adaa Tum To Nahin Ho,
In Ajnabi Raahoon Mein Nahin Koi Bhi Mera,
Kis Ne Mujhe Yoon Apna Kaha, Tum To Nahin Ho. . . .*
;=;=;=;=;=;=;=;=;=;=;
R o C k s
;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;'
'*. .Jalwa baqader e zarf e nazer daikhtay rahay.
Kia daikhtay hum un ko mgr daikhtay rahay.
Apna he aks paish e nazer daikhtay rahay.
Aaina rubaru tha jidher daikhtay rahay.
Unki hareem e naz kahan aur hum kahan,
naqsho nigar parda e der daikhtay rahay.
Aisi bhi kuch firaaq ki ratain guzer gaen,
jaisay unhi ko paishey nazer daikhtay rahay.
her lehza shan e husn badalti rahe jiger.
Her aan hum jahan e deger daikhtay rahay. .*
RõçKs.*.*.*'
'Kuch is Ada Se Aaj wo pehlu Nasheen rahy,
Jab tak hamary Paas rahy, hum hum nahi rahy.
Ya Rab kisi k Raz-e-Mohabat ki kheir ho,
Dast-e-junoon rahy na rahy, Aas to rahy.
Dard-e-Gham-e-Firaq k ye Sakht Marhalay,
Heraan hon Main k phir bhi Tum itny Hseen rahy!
Ja Aur koi Zabt ki duniya Talash kar,
Ae ishq hum to Ab Tere Qabil nahi rahy.
Is ishq ki Talaafi-e-Mafaat dekhna,
Ronay ki hasraten hen jab Aansu nahi rahy..'
'"KYA TUM B"
Sham Ki Dehleez Pe Aas Ka Deep Jalatay Ho,
Aur Kisi Awara Patte Ki Aahat Par,
Darwaze Ki Tarf Bhaage Jaty Ho, "KYA TUM B"
Dard Chupane Ki Koshish Karte Karte,
Aksar Thak Sy Jatay Ho,
Aur Bila Waja Muskurate Ho, "KYA TUM B"
Neend Sy Pehlay Palkon Par Dheron Khawab Sajate Ho,
Ya Phir Bistar Par Lait Kar,
Rotay Rotay So Jate Ho, "KYA TUM B"
Kisi Ko Chahate Ho...!!'
'Bhool Jaati Hoon…!!
buri aadat hai ye meri
magar phir bhi is aadat ko
buhat chah kar bhi jane kion
badalna bhool jaati hoon
mile koi khushi mujh ko
to kuch aisa bhi hota hai
magan ho jati hoon itna
main hansna bhool jaati hoon
mile gham is qadar mujh ko
k aansoo bhi lage behne
aur ab ye keh na paon gi
main rona bhool jaati hoon'
'Mujhay Tum Say Pyaar Hai…….?
Tum Kehti Ho Mujhay Phoolon Say Pyaar Hai….?
Magar Jab Phool Khiltay Hain
Tu Unhain Tehni Say Toor Dalti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai…?
Magar Jab Baarish Hoti Hai
Tu Chuppti Phirti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai….?
Magar Jab Hawa Chalti Hai
Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho
Phir Is Waqt
Main Khoof Zada Sa Ho Jata Hoon
Jab Tum….. Mujh Say Kehti Ho
Mujhay Tum Say Mohabbat Hai'
'Sambhala hosh hai jab se Muqaddar sakht tar Nikla,
Parha hai waasta jisse Wohi teer-o-tabar Nikla,
Sabaq deta raha jo Umar bhar Roshan khayali ka,
Usey jab paas se dekha to Khud bhi tang nazar Nikla,
Samjha kar Zindagi Jisse Muhabbat kar rahe they hum,
Usey jab Chhu kar dekha to Faqat khali Bashar Nikla,
Muhabbat ka Khumaar utra to Tab saabit hua Hm par,
Jisey hum Umar samjhte they Wo Bemaqsad safar Nikla,''
'{~{GHAZAL}~}
Us ne Mohabat ko b ek tijarat samjha.
Ek dhoka tha mein ny jisy chahat samjha.
Wo mery dil ko tor kar khush hota raha,
Main kaisa dewana tha jo dard ko b rahat samjha.
Us ne samjha hi nahi rishton k taqaddus ko kbhi,
Ye faqat khel tha main ne us ki aadat samjha.
Her bar us ne diya meri wafa ko fareb,
Main tha k apny pyar ko ek ibadat samjha...!!!'
'Main sadgi k lehje main ik baat
kahon ga,,
Rukti nhi ashkon ki barsaat.
kahon ga,,
Kahon ga k shamein meri udaas rehti hain,,
Bin tere nhi kat-ti meri raat
kahon ga,,
Tere husan ko dhondon ga gulshan ki kali mei,,
Main khilte phoolon ko teri zaat
kahon ga,
Jo kaho ge tum wohi maan lon ga mai,
Jo tum ko lage achi wohi baat
kahon ga,
Pehlo mai usko betha k kisi din,
Hathon pe mere rakh do ye hath kahon ga. .*
_.-"r_.-"o_.-"c_.-"k_.-"s_.-"'
'*. . . . .Pagal Aankhon Wali Larki. . . . .*
Pagal Aankhon Wali Larki
Itne Mehange Khuwaab Na Daikho
Thak Jaao Gii
Kaanch Se Naazuk Khuwaab Tumhare
ToOt Gaye ToO Pachtao Gii
Tum Kya Jaano!!!
Khuwaab...
Safar K Teeshe
Khuwaab...
AdhoOri Raat Ka Dozakh
Khuwaab...
Khayaalon Ka Pachtaawa
Khuwaabon Ka Haasil Tanhaii
Mehange Khuwaab Khareedna Hon ToO
Aankhain Baichna Parrti Hain
Rishhte BhoOlna Parrte Hain
Andeshon Ki Reet Na Phaanko
Khuwaabon Ki Oath Saraab Na Daikho
Payaas Na Daikho
Itne Mehange Khuwaab Na Daikho
Thak Jaao Gii. . . . .*
4u. .*
R O C K S'
'*. . . . .Qismat. . . . .*
Ek Din Usne Poocha
Kahan Kahan
Hon Main???
Main Ne Kaha
Mere Dil Main
Ho Tum
Meri Jaan Main Ho Tum
Meri Saans Main Ho Tum
Meri Aas Main Ho Tum
Meri Pyaas Main Ho Tum
Meri Dharkan Main Ho Tum
Mere Din Main Ho Tum
Meri Raat Main Ho Tum
Meri Har Ik Baat Main Ho Tum
Phir Us Ne Pocha
Aur Kahan Hon Main???
Nazar Main Tum Ho
Fikar Main Tum Ho
Milan Main Tum Ho
Hijar Main Tum Ho
Duaa Main Tum Ho
Aarzu Main Tum Ho
Us Ne Kaha..!!
Ye Batao K
kahaan Nahi Hon Main???
Qismat.................
Ye Kehte Kehte Mere Aansoo Behne Lage
Meri Qismat Ka Haal Kehne Lage
Kaha Us Ne..!!
Meri Jaan Jo Tum Keh Na Paaye Wo Sab Jaanti Ho Main
Tum Mujhe Be-Panah Pyaar Karte Ho Ye Maanti Hon Main
Jeete Jii Koi Hamain Juda Na Kar Paaye Ga
Hai Mujhe Apne Sohne RAB Pe Yaqeen
Wo Hamain Ik Roz Zaror Milaaye Ga. . . .*'
'(Qateel-Shifaai)
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho, Saza Kyon Nahin Dete.
Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.
Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.
aik Arsa Hua Chain Se Soye Huye "sahil"
Mera Chain, Meri NeEend Lauta Kyon Nahin Dete.'
'Haal mat puch ishq krny ka..
Umar jeeny ki, shouq marny ka
Wo mohabat ki Ehtiyat k din..
Haaye møsam wø khud se darnay ka..
Ab usay aayinay se nafrat hai..
Kall jisay shøuq tha sanwrnay ka.
Khud_kashi kø b rayigan na smjh.
Kaam Ye b hai kr Guzrnay ka..
Umar_bhar k azab se mushkil.
Ek Lamha sawal krnay ka..
Khøøn røna b Ek hunr thehra..
Baanjh møsam mein rang bhrnay ka..
Tøøt'ty dil kø shøuq hai Møhsin
Søørat_e_barg_e_Gul bikhrnay ka,,'
'""Ussey kehna!
"Bazahir to
hawaein badli badli hain!
"Chaman b badla
badla hai!
"Mgar DIL mein!
"Tumhari yaad ka mosam nahi badla!
"Teri chahat k
phoolon ki!
"Abhi khushbu
nahi bikhri!
"Mere ander
tumhari zaat ka Ehsas baqi hai!
"Tumhare dm se meri zindagi ki!
"Saans baqi hai!
""Usse kehna!
"K mosam to
badalte rehte
hain yunhi!
"Kabhi mosam badalne se!
"Ye aankhein namm nahi hoti!
"Mohabbat km
nahi hoti!
"Mohabbat km nahi hoti...!'
'Wo To Aaya Tha Kai Baar Manany Mujh Ko,
Mujh Sy Doori Main Jo Guzri Thi Sunany Mujh Ko,
Main Ny Hi Tark-e-Ta'aluq Ki Qasam Kha Li Thi,
Yaad Aa Gaye Phir LOG Purany Mujh Ko,
Kuch To Aadat Ha Aankhon Ko Chalak Jany Ki,
Kuch Khayalat Bhi Aaty Han Rulany Mujh Ko,
Us Ko Dekhon To Dil Ko Pashemani Hoti Ha,
Jo Dikhaty Thy Kbhi Khuwab Suhany Mujh Ko,
Us Ny Aik Lamhy Main Andaz Badal Dala "MASOOM"
Jis Ki Qurbat Main Lagy Kitny Zamany Mujh Ko.'
'Mera dil mujh se kehta hy
Meri dharkan mein tu rehtA hy
Tu khawab hai ya sapna hy
tu ghair nahi merA apnA hy
Tu raat bhar mujh ko jagatA hy
Kuch kehtey kehtey chup ho jatA hy
Meri sochon pe tera basera hy
Tu merA hy,tu merA hy
Koi kahani koi qisa hy
Tu meri zaat ka hisa hy
Mere hathön me tu likha hy
Main ne khawabon mein tujh ko dekha hy
Tu koi chamkta tara hy
Tu meri jaan mera sahara hy.'
'Aik Roop K Sagar Me Nahati Rahi Aankhein.
Kuch Khab Mere Dil Me Sajati Rahi Aankhein.
Yadon K Dariche Pe Wo Deti Rahein Dastak.
Kaal Raat Bahot Mujh Ko Satati Rahi Aankhien.
Palkon Se Tapkne Na Diya 1 Bhi Ansu.
Ye Rasm-e-Mohabat bhi Nibhati Rahi Aankhein.
Shayad Kabhi Gir Jaye Ye Diwar Aana Ki.
Es Aas Pe Tofan Uthati Rahi
Aankhein.
Duniya Mere Khwbon Ko Jalati Rahi Lekin.
Jalte Howe khawabon ko bachati rahi Aankhein.'
'*. . . LiBaaaS. . .*
Mein Khush Naseebi Hon Teri Muje B Raas Hai Tu
Tera Libaas Hoon Mein Or Mera Libaas Hai Tu
Ajeeb Shey Hai Mohabbat B, Door Hien Lakin
Tere Qareeb Hon Mein, Mere Ass Paas Hai Tu
Kiya Hai Khud Ko Faramosh Mein Ne Tere Liye
Bahut Hi Amm Hai Ye Duniya Bahut Hi Khaas Hai Tu
Zamana Ham Ko Juda Kar Sake, Nai Mumkin
Mohabbaton Mein Jo Nakhun Hon Mien To Maas Hai Tu
Ye Rait Se Mere Honton Pe Jam Gayee Kaisee
Muje Guman Tha K Darya Hon Mein To Payas Hai Tu
Ye Kon Tere Mere Darmiyan Hai Jana
K Mein B Dard Mein Hon Or Mehwe-Yaas Hai Tu. . .*
|:::R:::O:::C:::K:::S:::|'
'*. . . . .Chalti Hain Saansain. . . . .*
Chalti Hain Saansain Thaame Tera Haath
Zindagi Hai Meri Bas Tera Ye Saath
Aati Hai Daaman Se Teri Hi Khushbu
Tujhse Hi Mehake Hain Saare Jazbaat
Simte Hain Aanchal Main Jitne Bhi Taare
Jhilmil Se Saare Hain Tere Hi Khuwaab
Khayaalon Ki Nagri Main Tere Hain Charche
Neendain Bhi Karti Hain Teri Hi Baat
Jo Chanda Se Poocha Pata Maine Tera
Kehta Hai Tujh Main Kya Aisa Hai Khaas???
Dil K Ishaare Hain Baatain Hain Dil Ki
Wo Samjhega Kaise Ye Dil K Ehsaas
Pooche Hain Sakhiyaan Ye Kaisi Hain Khushiyaan???
In Shokh Nigahon Main Kaisa Hai Raaz???
Aankhon Main Lafzon Main Teri Kahaani
Main Kehta Hon Tujh Se Hai Mera Shabaab
Piya Tujh Ko Likha Khat Ek Maine
Likha Tha Uss Main Jiya Ka Bhi Haal
Ab Chhere Hai Daikho Hawa Mujh Ko Chanchal
Laaii Ho Jaise Ye Tera Jawaab. . . . .*'
'Kya Huwa Ke Dil Maira Maghroor Ho Gaya
Pyar, Ishq, Muhabbat Kuch Zaroor Ho Gaya
Ye Kya Ke Jang To Ameeron Ki Thi Magar
Qatal Sarrak Pay Soya Huwa Mazdoor Ho Gaya
Saansein Bhi Chubhi Jaati Thi Mujh Ko Pehley
Aey Mot Main To Tera Mashkoor Ho Gaya
Ikk Pal Ki Khushi Maangi To Gham Mila Mujhey
Shaamil Mairi Duwa Shayad Fatoor Ho Gaya
Kuch Zindagi Ne Bhi Mohlat Na Di 'Tanha'
Kuch Main Khud Bhi Khud Say Door Ho Gaya .
(,") TrUsT HuRts (",)'
':::::Udaas Main Tha:::::
Udaas Main Tha Saara Shehar Rone Laga,
Aaj Mera Sanam Kisi Aur Ka Hone Laga,
Jin K Raaste Se Kaante Uthaaye Hum Ne,
Wo Ab Hamare Saamne Naqab Kar K Guzarne Lga,
Chhor Diya Uski Gali Se Jana Aaj,
Phir Na Jane Kyun Wo Yaad Aane Laga,
Ay Gaalib Kya Yaad Karna Us Bewafa Ko,
Wo Hamare Zakhmi Dil Ko Daikh Kar Muskrane Laga...'
'*. . .nasir kazmi. . .*
kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
aye hain is gali main to pathar hi le chalen
yun kis tarah katega kari dhup ka safar
sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen
ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen
ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen
is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
a ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen. . .*'