Sunday, May 31, 2015
Tum Bin
Jeena
Aisa Hai!
Zeher ko
Peene Jaisa Hai!
Tum Se Bichar
ke Zinda Rehna!
Hum Se Poocho
kaisa
Hai!
Mera Tum ko
Takte
Rehna!
Chaand ko
Takne Jaisa Hai!
Tera Hans ke
Baatein
karna!
Khilte Phoolon
Jaisa
Hai!
Baadal Tere
Pyaar ka Humdum!
Aaj To Khul
ke Barsa Ha!
Chand ki Nazrein Jhuk
Jaati He!
DOST jo mera
aisa ha.
Saturday, May 30, 2015
Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum
Shaam e Gham Kii Qasam
Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam
Shaam e Gham Ki Qasam
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam
Saturday, May 16, 2015
Tarif Karen Kya Aapki Alfaz Nahi Milte
Aap Jaise Chaman Ke Phool Baar Baar Nahi Milte
Chand se hasen hai chandni,
Chaandni se hasen hai raat,
Raat se hasen hai zindgi,
Aur woh zindagi hain aap…!
Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!! !!
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Ya RAB Gam-e-Hijran Mein, Itna To Kia Hota
Jo hath Jigar Par Hai, Dast-e-Dua Hota
Ik Ishq ka Gam Aafat Aur Is Pe ye Dil Aaafat
Ya Gam Na Dia Hota Ya Dil Na Dia Hota
Nakaam-e-Tamanna-e-Dil, Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota To Kia Hota, yun Hota To Kia Hota
Umeed To Band Jaati, Taskeen To Ho Jaati
Vaada Na Wafa Karte Vaada To Kia Hota
Gairon Se Kaha Tum Ne, Gairon Se Suna Tum Ne
Kuch HUm Se Kaha Hota Kuch HUm Se Suna Hota
Friday, May 15, 2015
AAJEEB APNI YE ZINDGI HA
SAMATOO JITNA BIKHR RAHI HA
HUM AK PAL KO BHI JEE NA PAY
YE LAMHA LAMHA GUZR RAHI HA
AAJEEB APNI YE ZINDGI HA
MUHABTOON KO SAMJH NA PAY
HASEEN RISHTY NAHI NIBHAY
HA KHWAHISHOON K HI BEEJ MANGY
HASRATOON KO GALY LAGAY
YE AJ AANKHOON MA JO NAMI HA
YE APNY KHWABOON KI BE BASI HA
DILOON KI BATAIN JO KAH NA PAY
HMARY ANSOO JO BAH NA PAY
TUMARY JANY K BAAD HUM BHI
KAHEEN SAKOON SE KYUN RAH NA PAY
HR AK RASTY PA RUK RAHI HA
HAMARI CHAHAT BHATAK RAHI HA
AJEEB APNI YE ZINDGI HA
deewaroN say mil kar rona achcha lagta hay
hum bhi pagal ho jaeen gay esa lagta hay
kitnay dino kay piyasay hoN gay yaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hay
aankhoN ko bhi lay Dooba ye dil ka pagal pan
aatay jatay jo milta hay tum sa lagta hay
is basti main kon humaray aansoo poonchay ga
jo milta hay us ka daman bheega lagta hay
duniya bhar ki yadain hum say milnay aati hain
sham Dhalay is soonay ghar main mela lagta hay
kis ko pathar maroon qaisar kon paraya hay
sheesh mehal main ek ek chehra apna lagta hay
murjha kay kaali jheel main girtay howay bhi dekh
sooraj hoon mera rang magar din dhalay bhi dekh
har chand rakh ho kay bikharna hay rah main
jaltay howay paroN say uRa hoon mujhay bhi dekh
aalam main jis ki dhoom thi us shahkar per
deemak nay jo likhay kabhi wo tabsaray bhi dekh
to nay kaha tha kay main kashti pe bojh hoon
aankhon ko ab na dhanp mujhay Doobtay bhi dekh
bichti thi jis ki rah main phoolon ki chadarain
ab us ki khaak ghas kay pairon talay bhi dekh
kia shakh baa samar hay jo takta hay farsh ko
nazrain uTha shakeeb kabhi samnay bhi dekh
tazad-e-jazbaat main ye nazuk muqaam aaya to kia karo gay
main ro raha hoon to hans rahay ho, main muskuraya to kia karo gay
mujhay to is darja waqt-e-rukhsat sakooN ki talqeen kar rahy ho
magar kuch apnay liye bhi socha, main yaad aaya to kia karo gay
kuch apnay dil per bhi zakhm khao, meray lahoo ki bahar kab tak
mujhay sahara bananay walo, main laRkhaRaya to kia karo gay
utar to saktay ho yaar lekin maal per bhi nigah kar lo
khuda na karda sakoon sahil naa raas aaya to kia karo gay
abhi to tanqeed ho rahi hay meray mazaq janooN pe lekin
tumhari zulfoN ki barhami ka sawal aaya to kia karo gay
abhi to daman chuRa rahay ho, bigaR kay Farhan say jarahy ho
magar kabhi dil ki dhaRkanoN main shareek paya to kia karo gay
kahan tak jafa husn walo ki sehtay
jawani na rehti to phir hum na rehtay
nashaiman na jalta nishani to rehti
humara tha kia theek rehtay na rehtay
zamana baRay shoq say sun raha tha
humi so gaye dastaN kehtay kehtay
koe naqsh or koe deewar samjha
zamana howa mujh ko chup rehtay rehtay
meri nao is gham kay daria main saqib
kinaray pe aa hi gai behtay behtay
Tum jahaan bhi raho sada khush raho,
tumhe dil se main bhula rahi hoon aaj …
tumharay pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,
un yaadon ko louta rahi hoon aj …
tumhari bewafai ka kya charcha karoon,
apni wafa pe sharma rahi hoon,
mujhe tumhari bewafai se koi shikwa nahi,
main tumhari zindagi se hi ja rahi hoon aaj ….!!
Kyon Neend Nahi Aati,
Kyon Chain Nahi Padta,
Kyon Raat Nahi Katti,
Kuch Baat Nahi Banti,
Tanhayi Ye Dasti Hai,
Ek Aag Bhadakti Hai,
Apna Hi Nahi Koi,
Jo Baat Kare HuMse,
Sab Neend Karein Aur HuM,
Jalte Hi Rahein Tanha,
Kis Kisko Batayein HuM,
Kaise Ye Guzari Hai,
Tanhayi Ke AlaM Mein,
Har Raat Hi Bhaari Hai,
Sab Chain Se Sote Hai,
HuM Raat Ko Jalte Hai...
Neend Aai Na Khula Raat Ka Bistar Mujh Sy,
Guftagu Karta Raha Chaand Barabr Mujh Sy,
Apna Saaya Ussay Khairat Mein Dy Aaya Hoon,
Dhoop K Dar Sy Jo Lipta Raha Din Bhar Mujh Sy,
Kon Se Aisi Kami Mery Khad-o-Khal Mein Hai.?
Aaiyna Khush Nahi Hota Kabhi Mil Kar Mujh Sy,
Kiya Musibat Hai K Her Din Ki Mushaqat K Evaz,
Bandh Jaata Hai Koi Raat Ka Pathar Mujh Sy,
Apnay Hathoo'n Ko Jo Kashkol Banaya Main Ne,
Gir Parra Jaany Kahaan Mera Muqadar Mujh Sy..!!
Thursday, May 14, 2015
Urdu Poetry's profile photo
Urdu Poetry
Shared publicly • 8 Mar 2015
Jab Neend Se Aakhain Bhujal Hun
Aur Apne Aankh Se Ujhal Hun
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai
Jab Dil Mai Basne Walay B
Or Saath Mai Hasne Walay B
Door Kahin Wo Baste Hun
Kisi Or K Sath Wo Hanste Hun
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai
Jab Ghum Ki Raat Andheri Ho
Or Us Mai Yaad B Teri Ho
Na Dil Mai Koi Ujaala Ho
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai
Phir Neend Bhala Kab Aati Hai
Monday, May 11, 2015
Woh meri kasam leta nahin ilzaam samajh kar,
aur de deta hai apni kasam inaam samaj kar..
Woh jaanta hai mujhe uss se kitni mohabbat hai,
phir bhi guftgoo karta hai anjaan samajh kar..
Maine usey apne dil ki dhadkan mein basaaya hai,
aur woh dil mein rakhta hai mujhe mehmaan samajh kar..
Agar usey hum se mohabbat nahin toh na sahi,
magar kyon ilzaam deta hai gumnaam samajh kar..
Maine apni saari khushiyaan uss ke naam kar di,
aur woh humen pyaar karta hai ehsaan samajh kar. !!
Koi na jaan saka woh kahan se aaya tha,
aur uss ne dhoop se baadal ko kyon milaaya tha.
Ye baat logon ko shayad pasand aayi nahin,
makaan chhota tha lekin bahut saj aaya tha.
Woh ab wahan hain jahan raaste nahin jaate,
main jis ke saath yahan pichhle saal aaya tha.
Suna hai uss pe chahkne lage parinde bhi,
woh ek paudha jo hum ne kabhi lagaya tha.
Chiraagh doob gaye Kapkapaaye honthon par,
kisi ka haath humare labon tak aaya tha.
Badan ko chhod ke jaana hai aasman ki taraf,
samandaron ne humen ye sabaq padhaya tha.
Tamaam umar mera dum issi dhuen mein ghuta,
woh ek chiraagh tha maine usey bujhaya tha. !!
Shabnam ke aansoo phool par ye toh wahi qissa hua,
aankhen meri bheegi hui chehra tera utra hua.
Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ek tasveer hai,
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua.
Shayad usey bhi le gaye achchhe dinon ke qaafile,
is bagh mein ek phool tha teri tarah hansta hua.
Har cheez hai bazaar mein is haath de us haath le,
izzat gayi, shohrat gayi, rushwa hue, charcha hua.
Mandir gaye, masjid gaye, peeron faqeeron se mile,
ek us ko paane ke liye kya kya kiya, kya kya hua.
Anmol moti pyar ke duniya chura kar le gayi,
dil ki haveli mein koi darwaza tha toota hua.
Barsaat mein deewar-o-dar ki saari tahreeren mitin,
dhoya bahut mita nahin taqdeer ka likha hua. !!
Sannata kya chupke chupke kehta hai,
saaari duniya kis ka rain basera hai.
Aasmaan ke donon konon ke aakhir,
ek sitaara tera hai, ek mera hai.
Anda machhli chhu kar jin ko paap lage,
un ka poora haath lahoo mein dooba hai.
Aahista aahista dil par dastak do,
dheere dheere dil ka darwaaja khulta hai.
Sooraj ke ghar se uske ghar tak jaana,
kitna seedha saada dhoop ka rasta hai.
Saari raat lihaafon mein royi aankhen,
sab kehte the rishta naata jhootha hai. !!
Ya toh miT jaaiye ya miTa dijiye,
kijiye jab bhi sauda khara kijiye.
Ab jafa kijiye ya wafa kijiye,
aakhari waqt hai bas dua kijiye.
Apne chehre se zulfen hata dijiye,
aur phir chaand ka saamana kijiye.
Har taraf phool hi phool khil jayenge,
aap aise hi hanste raha kijiye.
Aap ki ye hansi jaise ghoongharu baje
aur qayaamat hai kya ye bata dijiye. !!
Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha,
jo deep tha nigaah ki parchhaaiyon mein tha.
Woh be-panaah khauf jo tanhaiyon mein tha,
dil ki tamaam anjuman-aaraaiyon mein tha.
Ek lamha-e fusun ne jalaaya tha jo diya,
phir umar bhar khayaal ki raanaaiyon mein tha.
Ek khwaab-guun si dhoop thi zakhmon ki aanch mein,
ek saaebaan sa dard ki purwaaiyon mein tha.
Dil ko bhi ek jaraahat-e dil ne ataa kiya,
ye hausla ki apne tamaashaaiyon mein tha.
kaTta kahan taweel tha raaton ka silsila,
sooraj meri nigaah ki sachchaaiyon mein tha.
Apni gali mein kyon na kisi ko woh mil saka,
jo etimaad baadiya-paimaaiyon mein tha.
Is ahd-e-khud-sipaas ka puchho ho maajra,
masroof aap apni paziraaiyon mein tha.
Us ke huzoor shukr bhi aasaan nahin ada,
woh jo qareeb-e jaan meri tanhaaiyon mein tha. !!
Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha,
jo deep tha nigaah ki parchhaaiyon mein tha.
Woh be-panaah khauf jo tanhaiyon mein tha,
dil ki tamaam anjuman-aaraaiyon mein tha.
Ek lamha-e fusun ne jalaaya tha jo diya,
phir umar bhar khayaal ki raanaaiyon mein tha.
Ek khwaab-guun si dhoop thi zakhmon ki aanch mein,
ek saaebaan sa dard ki purwaaiyon mein tha.
Dil ko bhi ek jaraahat-e dil ne ataa kiya,
ye hausla ki apne tamaashaaiyon mein tha.
kaTta kahan taweel tha raaton ka silsila,
sooraj meri nigaah ki sachchaaiyon mein tha.
Apni gali mein kyon na kisi ko woh mil saka,
jo etimaad baadiya-paimaaiyon mein tha.
Is ahd-e-khud-sipaas ka puchho ho maajra,
masroof aap apni paziraaiyon mein tha.
Us ke huzoor shukr bhi aasaan nahin ada,
woh jo qareeb-e jaan meri tanhaaiyon mein tha. !!
Baandh lein haath pe, seene pe sajaa lein tum ko
jee mein aata hai ki taaveez bana lein tum ko.
Phir tumhen roz sanwaaren, tumhen badhta dekhen
kyon na aangan mein chambeli sa laga lein tum ko.
Jaise baalon mein koi phool chuna karta hai
ghar ke guldaan mein phool sa saja lein tum ko.
Kya ajab khwaahish uthti hain humare dil mein
kar ke munna sa, hawaaon mein uchhaalen tum ko.
Iss qadar toot kar tum par pyaar aata hai
apni baahon mein bharen maar hi daalen tum ko.
Kabhi khwaabon ki tarha aankh ke parde mein raho
kabhi khwaahish ki tarha dil mein bula lein tum ko.
Hai tumhare liye kuchh aisi aqeedat dil mein
apne haathon mein dua sa utha lein tum ko.
Jaan dene ki ijaazat bhi nahin dete ho
warna mar jaayen abhi mar ke manaa lein tum ko.
Jis tarha raat ke seene mein hai mahtaab ka noor
apne taareek makaanon mein sajaa lein tum ko.
Ab toh bas ek hi khwaahish hai kisi mod par tum
hum ko bikhre hue mil jaao, sambhaalen tum ko. !!
Tamanna Phir Machal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Ye Mousam Hi Badal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Mujhe Gum Hay Ki
Mene Zindagi Men Kuch Nahi Paya
Yeh Gum Dil Se Nikal Jaye
Ager Tum Milne Aajao
Nahi Milte Homujhse Tumto Sab Humdard Hay Mery
Zamana Mujhse Jal Jay,Eager Tum Milne Aajao
Ye Duni Bhar Ke Jhgde Ghar Ke Kisse Kaam Ki Baaten
Bala Her Ek Tal Jaye,Ager Tum Milne Aajao
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Ranj Aur Dard Ki Basti Ka Mein Baashinnda Hun
Ye Toh Bas Mein Hun K Is Haal Mein Bhi Zinda Hun
Khwab Kyu Dekhun Vo Kal Jispe Mien Sharminda Hun
Mein Jo Shrminda Hua Tum Bhi Toh Sharmaaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Kyu Mere Saath Koi Aur Pareshan Rahe
Meri Duniya Hai Jo Veeran Toh Veeraan Rahe
Zindagi Ka Ye Safar Tumpe Toh Aasaan Rahe
Hum Safar Mujhko Banaogi Toh Pachhtaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Ek Mein Kya Abhi Aayenge Deewane Kitney
Abhi Gunjengey Mahobatt K Taraney Kitney
Zindagi Tumko Sunayegi Fasaane Kitney
Kyu Samjhti Ho Mujhe Bhul Nahi Paaogi Lovely
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Pyar Mujhse Jo Kiya Tumne Toh Kya Paaogi
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Ye Naam Mumkin Nahi Rahay Ga, Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Gharoor Lehjay Mein Aa Gaya Tou Kalaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Barf Mausam Jo Sheher-e-Jaa.n Mein Kuch Aur Lamhay Theher Gaya Tou
Lahoo Ka Dil Ki Kisi Gali Mein Muqaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Tum Apni Saanson Se Meri Saansain Alag Tou Karnay Lagay Ho Laikin
Jo Kaam Aasaan Samajh Rahay Ho Wo Kaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Wafaa Ka Kaaghaz Tou Bheeg Jaye Ga Badgumaani Ki Baarishon Mein
Khaton Ki Baatain Tou Khwaab Hon Gi Payaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Mein Jaanti Hun Mujhe Yaqeen Hai Agar Kabhi TU Mujhe Bhula De
Tou Teri Aanhkon Mein Roshni Ka Qayaam Mumkin Nahi Rahay Ga
Ye Ham Mohabbat Mein La Ta’alluq Se Ho Rahay Hain Tou Dekh Laina
Duaaein Tou Khair Kon De Ga Salaam Mumkin Nahi Rahay Ga