Friday, May 15, 2015

kahan tak jafa husn walo ki sehtay

jawani na rehti to phir hum na rehtay

nashaiman na jalta nishani to rehti

humara tha kia theek rehtay na rehtay

zamana baRay shoq say sun raha tha

humi so gaye dastaN kehtay kehtay

koe naqsh or koe deewar samjha

zamana howa mujh ko chup rehtay rehtay

meri nao is gham kay daria main saqib

kinaray pe aa hi gai behtay behtay

No comments: