murjha kay kaali jheel main girtay howay bhi dekh
sooraj hoon mera rang magar din dhalay bhi dekh
har chand rakh ho kay bikharna hay rah main
jaltay howay paroN say uRa hoon mujhay bhi dekh
aalam main jis ki dhoom thi us shahkar per
deemak nay jo likhay kabhi wo tabsaray bhi dekh
to nay kaha tha kay main kashti pe bojh hoon
aankhon ko ab na dhanp mujhay Doobtay bhi dekh
bichti thi jis ki rah main phoolon ki chadarain
ab us ki khaak ghas kay pairon talay bhi dekh
kia shakh baa samar hay jo takta hay farsh ko
nazrain uTha shakeeb kabhi samnay bhi dekh
No comments:
Post a Comment