tazad-e-jazbaat main ye nazuk muqaam aaya to kia karo gay
main ro raha hoon to hans rahay ho, main muskuraya to kia karo gay
mujhay to is darja waqt-e-rukhsat sakooN ki talqeen kar rahy ho
magar kuch apnay liye bhi socha, main yaad aaya to kia karo gay
kuch apnay dil per bhi zakhm khao, meray lahoo ki bahar kab tak
mujhay sahara bananay walo, main laRkhaRaya to kia karo gay
utar to saktay ho yaar lekin maal per bhi nigah kar lo
khuda na karda sakoon sahil naa raas aaya to kia karo gay
abhi to tanqeed ho rahi hay meray mazaq janooN pe lekin
tumhari zulfoN ki barhami ka sawal aaya to kia karo gay
abhi to daman chuRa rahay ho, bigaR kay Farhan say jarahy ho
magar kabhi dil ki dhaRkanoN main shareek paya to kia karo gay
No comments:
Post a Comment