Monday, May 11, 2015

Aalam hi aur tha jo shanasaiyon mein tha,
jo deep tha nigaah ki parchhaaiyon mein tha.

Woh be-panaah khauf jo tanhaiyon mein tha,
dil ki tamaam anjuman-aaraaiyon mein tha.

Ek lamha-e fusun ne jalaaya tha jo diya,
phir umar bhar khayaal ki raanaaiyon mein tha.

Ek khwaab-guun si dhoop thi zakhmon ki aanch mein,
ek saaebaan sa dard ki purwaaiyon mein tha.

Dil ko bhi ek jaraahat-e dil ne ataa kiya,
ye hausla ki apne tamaashaaiyon mein tha.

kaTta kahan taweel tha raaton ka silsila,
sooraj meri nigaah ki sachchaaiyon mein tha.

Apni gali mein kyon na kisi ko woh mil saka,
jo etimaad baadiya-paimaaiyon mein tha.

Is ahd-e-khud-sipaas ka puchho ho maajra,
masroof aap apni paziraaiyon mein tha.

Us ke huzoor shukr bhi aasaan nahin ada,
woh jo qareeb-e jaan meri tanhaaiyon mein tha. !!

No comments: