Wednesday, July 22, 2015

Yunhi ajnabi na bana karo, Kabhi muskura k mila karo
Kabhi sun to lo mera hal-e-dil, Kabhi mujh se koi gila karo

Teri ik nazar teri ik ada, Mere dil ko kar de la-pata
Mere dost mere mere hum-nawa, Mere dil ka koi pata karo

Ye treeq-e-ishq hay kuch to ho, ya wafa karo ya jafa karo
Koi faisla mere mehrban, Koi rasm tum bhi ada karo

Na hi zeest ka koi raasta, Na hi khud-khushi ka hay hosla
Mujhe pyaar do mujhe maar do, Koi kaam tum bhi kya karo

No comments: