Thursday, July 23, 2015

Ashko'n ki zuban woh kabhi pehchan na paya
Da'awa tha parkhne ka magar jan na paya

Aaye tou bohat log mere dil mein bhi lekin
Tujhsa kabhi dil ne koi mehmaan na paya

Suntay hain k ik hashar uttha deti hay chahat
Hum ne tou kahee'n bhi koi tofaan na paya

Su dukh mein bhi chehre pe tabassum ki lakeerein
Iss tar'ha ka main ne kabhi insaan na paya

Main phir bhi jalata ho'on charagho'n ko sehar tak
Aane ka tere koi bhi imkaan na paya

Dunya k sitam sehte bhi daikha tujhe Qesar
Chehre ko kabhi bhi tere veeraan na paya

No comments: