Thursday, July 23, 2015

Sabhi ashk aankhon mein aa gaye, Na chupa sake na bata sake
Wo jo bhed tha wo khul gaya, Koi baat bhi na chupa sake

Na wafa rahi, na jafa rahi, na wo dil raha, na hum rahe
Us ki yaad ka jo charagh tha, Na jala sake na bhuja sake

Koi zor khud pe raha nahi, Koi bus bhi us pe chala nahi
Usey dekhty rahe door tak, Magar haath tak na hila sake

Nahi is mein us ki khata koi, Na naseeb ka koi dosh tha
Ye hamara apna mizaaj tha, K kisi tarha na nibha sake

No comments: