Sunday, November 30, 2014
Meri mohabbat mere jazbat sirf tumse hain
Ab Ay Mere Ehsas_e_Junoon Kya Mujhe Dena,
مشغلہ اچھا ہے ۔۔یہ بھی سردیوں کی شام کا ۔۔
Tum Jo Hotey To Mujhey Kitna Sahara Hota
SaKoon MiL GaYA MuJhY AaJ BaDNaAm Ho BaR
Suno Pathron K To Mizaaj Nahi Hotay...
Saturday, November 29, 2014
Youm-E-Muhabbat Phir Se Aa Phuncha Hai
Is Say PehLaY K
Bazahir Loog Kitny Maherban Thay
'Gia hy door jb sy wo kahen, dil hi nhin lagta.
Kahen dekho, kahen dhondo, k wo mehtab jesa hy.
Kbhi aandhi, kbhi tofan, kbhi badl, kbhi barkha.
Kbhi barish, kbhi drya, kbhi selab jesa hy.
Suna hy yad kr k wo bahot rota hy khalwat mein.
K us ka hal bhi ab to dil betab jesa hy.
"Tabasum" us ki fitrat ko smajhna hy bahot mushkil.
Kbhi bijli, kbhi shola, kbhi wo aab jesa hy..'
'Farishta nahi Ghalti hum se ho sakti hai,
Zinda hoon aaj,par kal Maut ho sakti hai,
Kasoor nahi mera ke Mehsoos nahi kuch
Dard ko na jane aur kya Dard ho sakti hai,
akailye me jo hum safar pe chal diye yoon,
maloom tha kya subha me shaam bhi ho sakti hai,
mang loab phir,jo mangna hai apne Rabb se
waqt ki kya khabar,kahin Qabool-e-Dua ho sakti hai'
'Yehi wada liya tha na !!!
Hamesha khush hi rehna hai,
Lo dekho! dekh lo aa ke,
Meri aankhon ko dekho tum,
Ye kitni shokh lagti hain,
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuratey hain,
Koi bhi gham agar aaye,
Usse hans kar saha main ne,
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pursakoon ho ga,
Kiya tha main ne jo tum se,
Wo wada kar dia pura ,
Magar ik baat hai pyaray ,
Kabhi jo waqt mil jaye ,
To meri shayari parhna ,
Tumhain mehsoos to ho ga,
Kahin talkhi bhara lehja ,
Kahin pe sard sa lehja ,
Kahin pe dard ki jheelain ,
Kahin lahjay ki karwahat,
Sunu !
Main khush to hun lekin ,
MERA HAR LAFZ ROTA HAI...................'
Friday, November 28, 2014
Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
'Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,
De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,
Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,
Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,
Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,
Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,
Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,
Toot’ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,
Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,
Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..'
Be-Rukhhi Tu Ne Bhi Ki Uzr-E-Zamana Kar K..
'Mere Pyaare Bhai K Liye...
Main Aur Kya kahon ?
Main Aur Kya Likhoon ?
Keh Don k Wo Jaan Hai Meri !!
Par Kaafi Nahi Ye LafZ..
K Kitna Pyara Hai Mujhe Mera Bhai..
Dua Hai Ye Meri......
Aankhain Jab Khoolon!
To . . .
Tera Chehra Saamne Ho . .
Aankhain Jab Moondon !
To . . .
Deedar Tera Khuwaab Main Ho..
Saari Duniya Se Zyada...
Pyaar Ki Pemaaish Se Zyada...
Khuda Ki Kasam...
Pyara Hai Mujhe Mera Bhai...
Mujhe Meri Jaan Se Zyada...
Mere Pyaare Bhai K Liye...
Main Aur Kya Kahon ?
Main Aur Kya Kahon... ?'
'Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi
Jaante Sab Hain Mujhe Pehchanta Koi Nahi
Hum Ne Kudh Se Peda Kiye Hain Zindagi Main mis'ale
Warna Sachi Baat Yeh Hai Mis'ala Koi Nahi
Khud'kushi Bhi Jurm Hai Aur Mai'kashi Bhi Jurm
Kaun Kis Mushkil Main Hai Yeh Dekhta Koi Nahi
Mukhtaser Lafzon Mein Hai Yeh Ab Mizaj-e-dosti
Raabta be'shak Hai Sab Se Waasta Koi Nahi'
'Jamal_e_yar ko dekhon kamal_e_yar se pehly
Main khushbo ki tarah mehkon khayal_e_yar se pehly
Karishmy hussan k suraj, sitary, phool zahir hein
Magar Main kis taraf dekhon misal_e_yar se pehly
Dua'on me Meri yon to buhat taseer hai lekin
Main Khuda se aur kiya mangon sawal_e_yar se pehly
Hai adat door rehny ki, agar wo saamny aye
Main sham_e_zindagi chahon visal_e_yar se pehly...!'
'ManZar MaiN JaB Tu Hi Na Tha Kya KarTi BEENAI Bhi..
BaSti BaSti GhooM AayE HaiN, HuM Bhi AuR TaNhai Bhi..
IshQ MaiN KiS Ko Kya MiLta Hai! ApNi ApNi QiSmaT Hai,
Ek Hi SiKkaY K CheHreY HaiN, IzZat Bhi RUSWAI Bhi..
ApNe DheYaaN MaiN AiSy GhaM ThE, Us Ki GaLli Bhi ChoR AayE,
KaM KaM HoN GaY Is DuNiyA MaiN HuM JaiSe SODAI Bhi..
BharTy BhaRtY BhaR GaeY SaaRe ZaKhM TuMhari FurQT K,
AaTy AatY Aa Gai AaKhir HuM Ko RaaS JUDAI Bhi..
YuN Bhi Nhi Hai HuM Wo GaLliyaN BiLkuL BhooL GaEy HooN,
AuR BoHat Si BaatoN K SanG, YaaD TuMhari AayE Bhi..
Ab K TuMhare SheHr Se Bhi Hum SaiRr KarTe GuzRy HaiN,
TaLkh BoHat Yeh Baat SaHi PaR, Us MaiN Hai SACHAI Bhi..
SaMay Ki DiMak AnDar AnDar JaaNe Kya KuCh Kha JaaTi Hai,
TuM ChaaHo To Keh Lo HuM Ko, JhooTa Bhi, HARJAI Bhe...'
'sitaaraa apanii bhii taabindagii na dekh sakaa
vo dhundh thii ki ye manzar koii na dekh sakaa
talaash karate huye uNgaliyaaN jalaa Daaliin
vo tiiragii thii ki mai.n shama bhii na dekh sakaa
milaa thaa shaam mujhe ik bujhaa huaa suuraj
main us ke baad phir raushanii na dekh sakaa
jo rabt baaqii the sab qataa kar liye us ne
vo meharabaaN merii bechaaragii na dekh sakaa
nigaah viase to baam-e-falak ko chhuu aa_ii
main jis zamiin pe khaRaa thaa vahii na dekh sakaa
vahii hai aa_iinaaKhaanaa vahii hai.n tasviire.n
main umr bhar koii suurat naii na dekh sakaa
tamaam shahar men vo diidaavar huaa mashahuur
vo apanii naak se aage kabhii na dekh sakaa'
'Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho'
'Chaman Ka Haal Tu Yeh Hai K Khaak Urti Hai
Kidhar Se Hoke Baharoon Ke Karwan Guzray
Diyar-e-YaarSara Safar Anokha Tha
Kadam Kadam Pe Naya Deyke Imtihan Guzray
Saba Bhi Aai Tu Phooloon Ke Mooh Jholas K Gai
Yahan Se Aber Bhi Barsa K Bijliyaan Guzray
Jo Chup Rahein Tu Malamat Karay Zamir Humein
Khari Khari Jo Kahein ’ Aap Ko Giraan Guzray
Guzarnay Ko Tu Musibat K Din Guzar Hi Gaye
Baray Hi Gehray Mager Chor Kar Nishaan Guzray
Sahi Gayin Na Tagaful Ki Chand Nazrein Bhi
Hain Sharamsar K Is Dil Main Kia Gumaan Guzray
Kabhi Tu War Raqeeboon K Day Gaye Hain Maza
Kabhi Tu Piyaar Azizoon K Bhi Giraan Guzray
Aye Dil Sambhal K Kisi Ko Hisab Dayna Hai
Ke Zindagani Ke Lamhay Kahan Kahan Guzray'
'Abhi soraj nahin dooba zara si sham hony do
main khud hi loat jaun ga mujhy nakam hony do
mujhy bdnam karny k bahany dhundty ho q?
main khud ho jaun ga bdnam pely nam hony do
abi karna nahin aetraf-e-shikast mujhko
main sab tasleem karlun ga ye charcha aam hony do
meri hasti nahin anmool phir b bik nahin sakta
wafaen bech lena par zara nilaam hony do
naye aghaz main hi hosla q haar baithy h?
jeet jao ge tm sab kch zara anjaam hony do'
'“Tera Lehja Teri Baaten Achi Lagti Hain”
“Teri Sochen
Teri Yaaden
Achi Lagti Hain”
“Tu De Ab Ilzam Ya De Apni Chahat”
“Ab Teri Saari SogaatChoti si ek baat ka qissa bana dya
Hum ne usy wajood ka hissa bna dya
bas apni zaroroto tak us ne mera sath diya
Phir youn hoa us ne mujhe Dil Se Bhoen
Achi Lagti Hain”
“Jis Din Se Dil
Tere Naam Pe Dharka Hai”
“Us Din Se Mujhe Apni Saansen Achi Lagti Hain..!”la diya.'
'is basti me dil wale bhi ……
chup chup ker roya kerte hai …..
dard bhara hota hai seene me …..
per khud me hi khoya kerte hai ……
naam na lo us basti ka tum …..
mahubbat jise hum kehte hai ……
naam na lo kisi deewane ka …..
naam na lo kisi dil wale ka …….
rote hai wo chupker magar …….
duniya me haste hai or hasate hai …..
~**~**~'
'Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey
Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai
Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain
Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey
kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain
Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain
Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain…'
'Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir?'
'Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida'
'chup hai har waqt ka rone waala;
kuchh na kuchh aaj hai hone waala.
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein;
sakht-jaan… kitna hai rone waala.
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin;
haar phoolon ke pirone waala.
kho gayaa dard ki tasweeron mein;
pyaar ke rang bhigone waala.
fasl ashqon ki ug aayee kaise;
kyaa kahe …kahkahe bone waala.
baant-ta firta hai auron ko hansee;
khud ko ashqon mein dubone waala.
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum;
ho rahega hai jo hone waala.
SHAUQ !…tum jiske liye marte ho…
..wo…tumhaaraa nahin hone waala…'
'Socha na thaa teri ulfat mey aisee thokar khaayenge
Pyar kee duniya mey saans lene sey pahle hi mar jaayenge
Ab pataa chala ke Ishq ek Khel hai koi jasbaat nahi
Aur kitney dil yaha jeete aur haarey jaayenge
Chahta tau hu magar aasaan nahi tuje bhoolna
teri yaadon ke sahare yuhi din kat tey jaayenge'
'iss rah-e-ulfat k musafir k sath tu ny kia kia
kabi apna lia kabi tukhra dia
meri muhabat patoon ka mahal tu nahi
kabi bana lia kabi gira dia
main teri kitab-e-zindgi ka woh haraf tu nai hn jisay
kabi likh lia kabi mita lia
mera sath tery leya bah-es-ruswaii tu nahi jisay
kabi dunya ko bitla lia kabi chupa lia
Aj kal logoon ka yeahi mashgala hai shan
kabi humain soch lia kabi bhula lia'
'Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye
Na Socha Na Samajha, Na Dekha Na Bhala
Teri Aarzoo Ne, Hume Mar Dala
Tere Pyar Ki Meherbani Peh Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye
Khabar Kya Thi Honto Ko Seena Padega
Mohabbat Chupa Kar Bhi, Jeena Padega
Jiye To Magar Zindagani Pe Roye
Muhabbat Ki Jhuthi Kahani Pe Roye
Badi Chot Khai Javani Peh Roye
Javani Peh Roye'
'Manoos Kar Chkuey Hein Ye Diwar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Ayega Ghar Muhjey
Umeed-e-Zindagi Nahee Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Hogayee Tou Phir Na Hogi Sehar Mujhey
Mein Ek Mata’a-e-Eshq Houn, Khhoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sakoge Kaheen Umar Bhar Mujhey
Kiya Jeetay Ji Umeed-e-Rahayee Se Wasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey
Dou Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Uss Ko Dekhhta Houn Charagh-e-Sehar Mujhey
Tang Aake Chordta Houn Dunya Ko Aap He
Duyna Ghareeb Chord Ke Jaati Kidhar Mujhey
Aayena Ban Raha Houn Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey
Ma’adoom Ho Chuka Ye Ehsaa-e-Zindagi
Chahein Tou Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey
Jeeney Ki Hey Salaah, Ke Marney Ki Eshq Mein
Dil Se Ye Poochna Hey Kahein Baythh Kar Mujhey'
'Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
Woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!'
'Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo,
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo
Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan,
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo
Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo,
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..'
'Fizaoo main rang bharta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…
Meri basti se shayad iss liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra'
'pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen
beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen
roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen
tum to shaayar ho ‘Qateel’ aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen'
'Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena
Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena
Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena
Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena
Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena
Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena'
'Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna
Aisa ho chuka hai kayee bar pehlay bhi
ab ki bar tum koi bhi sawal na karna
Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad bar bar na karna
Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna'
'Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai
Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai
Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai
Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai
Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai
Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai
Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai
Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai
Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai
Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai'
'Wafa ruswa nahi karna…
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hu
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye to
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Barosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar to muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje adha ni karna
suno asa soocha nahi kerna.'
'Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota'
'Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi'
Thursday, November 27, 2014
Yehi Zindagi Ka Ussol Hai,
Jo Bichar Gaya Ussy Bhool Ja,
Jo Mila Hai Dil Se Laga K Rakh,
Jo Nahi Mila Ussy Bhool Ja,
Na Wo Dhoop Tha Na Wo Chandni,
Na Chiraag Tha
Na Wo Roshni,
Wo Khayal Tha Koi Khuwab Tha,
Wo Tha Aaina Ussy Bhool Ja,
Wo Jo Tery Dil K Qareeb Tha,
Wo Na Jany Kis Ka NASEEB Tha,
Tujhe Hans K Usny Bhula Dia,
Tu Bhi Muskura Kar Ussy
BHOOL
Ja
'/ love letter
Meherbaan..!
Aise milne se kya faida
Sabz aankhon me oas k qatre ghulen
Surkh honton mein pinhan hazaron sharare pale
Dhardkano ko ajeeb sa shor bechain kare
Aise ta'aluq se kya faida
Ger usme ghulavat k naghme na hon
Rang apnaiyat k jab usme mile na hon
Suno..!
Khushbuon k kishkoal mein aas k aabgeene na bheja karo
Chand si chitthiyon mein amaavas k tukre na bheja karo...!!!!'
'Suno
Mujhe Tumse Hai Kuch Kehna
K Jab se
Aaye Ho Tum Meri Zeest Mein
Tab Se Lagta Hai Yun
K Taptay Sehra Mein
Koi Nakhlistan Mil Gaya Ho Jaise
K Jab Tum Na Thay
Meri Zindagi Mein
Tab Dil Buhat Udas Raha Karta Tha
Mousam-e-Bahar Mujhe
Khizan Laga Karta Tha,
Barishein Bhati Nahi Thin Mujhko
Dil Janay Kyun Bekarar Raha Karta Tha
Magar...
Aay Mere Hamdam
Jab Se Shamil Hue Ho Tum
Zindgani Mein Meri
Tab Se Aksar Mujhe
Lagta Hai yun
Namud-e-Subha Ki Oas Mujhe
Bhigo Rahi Ho Jaise
Gulaab Rutain Mujhe Chu Rahi Ho Jaise
Jaise Lagta Hai Yun
Titli Koi Chum kar
Meri Palkon Ko
Mujhe.. Khuwab Nagar Le Gayi Ho Jaise
Ya Kabhi Lagta Hai Yun
Bethay Bethay Hi Aishta Se
Teri Aahat Aagayi Ho Jaise....!!!!'
'"Dard jeet jata hy"
Dost milty julty hen
Sath sath chalty hen
Sath sath chalny me
Ranjishen to hoti hen
Ranjishon me bi lekin
Chahaten to hoti hen
Chahaton ki bi her pal
Ik ajab kahani hy
Hont hansty rehty hen
"Ankhen bheeg jati hen"
Bhegi c nigahon me
Khawab jalty bujhty hen
Dard k is safar me kuch
Mor aisy aty hen
Khawab toot jaty hen
sath choot jaty hen
Kirchian uthany me
Waqt beet jata hy
"Dard jeet jata hy'.....'
'Ajib dastan hoti hy Dosti ki,
Larna milne se bhi acha lgta hai!
Lar k manane wale b hote hai kuch,
To kch ko chirhana acha lgta hai!
Dost k muu se kuch sunne k liye,
Usko tapana bhi acha lagta hai!
Khatem hi nai hoti yeh batein apni,
To kabhi khamosh reh kar muskurna acha lagta hy!
4 doston me lagta hy,
Mil gai dunya sari,
Baqi sab ko
phir,
Bhol jana acha lagta hai!
Yaaro hamesha sath rehna,
Mjhko apna yarana acha lgta hai!!'
'Bikhar Rahi Hy Meri Zaat Usy Kehna
Kbhi Milay To Yehe Baat Usy Kehna
Wo Sath Tha To Zamana Tha Hamsafr Mera
Mgar Ab Koi Nahi Mery Sath Usy Kehna
Usy Kehna K Bin Usky Din Nahi Katta
Sisik Sisik K Katti Hy Raat Usy Kehna
Usy Pukaron K Khud Hi Pohanch Jaon Usky Pass
Nahi Rahy Wo Halaat Usy Kehna
Agar Wo Phir Bhi Na Lotay To Ay Mehrban Qasid
Hamari Zeest K Halaat Usy Kehna
Her Jeet Us K Naam Kr Rahe Hoon Main
Main Mante Hoon Apni HAAR Usy Khna'
'"Ghum-o-dukh k ye isharay tm na samjo gay"
"Jo din hmne tmharay bin guzaray tm na samjo gay"
"Tmhen kesay batayen tm hmaray wastay kya ho"
"Samandr ki kahani mein kinaray tm na samjo gay"
"Bus itna jan lo ek shakhs say hmne mohobbat ki"
"Hmaray tootnay ka khel pyaray tm na samjo gay"
"Hazaron mushkilon say khel kr b jeetnay walay"
"Ye aakhir kis jaga pr aa k haaray tm na samjo gay"'
Sawan Ma Barsat Zarore Hai
Mare Zindagi Ma App Zarore Hai
Tufaa Ma Kinara Zarore Hai
Humay App Ko Apnana Zarore Hai
Dobtay Ko Kinara Zarore Hai
App Ka Hum Sa Mil Jana Zarore Hai
Aaghaz Hai To Anjam Zarore Hai
Mera Kismet Ma App Ka Aana Zarore Hai
Taqdeer Ka Faisla Kya Ho! Magar
App Sa Bichar Kar Hamara Mar Jana Zarore Hai…!'
'"woh Ayna hy to phr Ayna dkhaye mojhe"
ejhab carag hun din rat jalta rhta hun"
mein takh geya hun howa se kaho bojhay mojhe"
Mein jis ki ankh ka ansso tha us ny qadr na ki"
Bekhr gia hun to reet se uthaye
mojhe"
Bohat dino se mein in pathrun mein pathr hun"
koi to aye zara darr rolaye mojhe"
Mein chahta hun ky tum he mojhe ajazat do"
Tumhari tara se koi galy lagaye mojhe'
'Musafir to bichertay hain rifakat kab badlti hai..
Muhabbat zinda rehti hai Muhabbat kab badlti hai
kali ka phool ban’na aur bikhar jana mukaddar hai..
Yehi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badlti hai
Jo DiL me bas jaye aur aankhon me simat aye
Alamat hai ye Chahat ki aur Chahat kab badlti hai
Tumhi ko Chahtay hain Tumhi se Muhabbat kertay hain.
Yehi barson se adat hai aur adat kab badlti hai'
'Mujhe mehsoos hota hai k
Lutf-e-Zindgi kam hai
Ghum-e-Dil had se barrh kar hain, Muyassar ab khushi kam hai
Musalsal Dil ki Be-Cheni ko kya kehtey hain dil wale?
Tumhein maloom ho shayed, mujhe to aa'gahi kam hai
Ab is k baad jism-o-jan ko bhi jalaney sey kya hasil?
Chiraghon mein lahoo jalta hai, phir bhi roshni kam hai
Jisey bhi dost samjha
dushman-e-jaan wohi thehra
Nahi hai dosti jis se, ussi sey dushmani kam hai...!'
'Ik na ik shama andheray mein jalaaye rakhiye...
Subah honay ko hai maahol banaaye rakhiye...
Jin ke haathon se humein zakhm-e-nihaan pohanchay hain...
Wo bhi kehtay hain ke zakhmo ko chupaaye rakhiye...
Kaun jaanay wo kis raah guzar se guzray...
Har guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye...
Daaman-e-yaar ki zeenat na banay har aansu...
Apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye...
"IK NA IK SHAMA ANDHERAY MEIN JALAAYE RAKHIYE"'
'Kitni Azziyat $ay U$s Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne U$say Khoob Rulaaya Hoga..
Baat Be-Baat Aankh U$s Ki Jo Chhalkee Hogi.......
U$s Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...
$ocha Ho Ga U$s Ne Din Main Kaee Baar Mujhay...... .
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...
Jahan U$s Nay Mera Zikkr $una Hoga Ki$i $ay..
U$s Ki Aankhon Main Koi Aan$oo Tou Aaya Hoga..
Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi usay...... ..
us nay Takkiye Ko Bhi $eenay $e Lagaaya Hoga..
Hokay Nidhaal Meri Yadoon $e Us nay Aksar....... ..
Meri Ta$veer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......
Poocha Hoga Jo Ki$i Ne Us Kay Halaat Ka $abbab....
Us Nay Baaton Main Khoob U$s $e Chupaaya Hoga.....'
'Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya?
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya?.
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan?
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya?
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi?
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya?
jane kya us ko logon sey thein shikayatein?
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya?
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya?.
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya?'
'DilKsh ,DilRuba, Nehayt Haseen hy,
Jo dard Ki sda hA Nehayt Haseen ha,
UsKa ghrur, Meri LaGan k sbab Nhe,
Wo Khud b janta hy,Nehayt Haseen hy..
TkTa hy ik Zmana Usy ishTyaQ se..
Uska Hamen giLa hy,Nehayt Haseen,
Hy Husn 0vr ada ka TaaLuq,Ajeb Chez,
Jo sahib_e_ada hy,Nehayt Haseen hy,
Shayr b Hun, FaQeer b, badaNosh b,
UsKi jo badDua hy,Nehayat Haseen hy.
By:-abdul hameed adm)'
'Youm-E-Muhabbat Phir Se Aa Phuncha Hai,,
Muhabbat k Izhaar Ki Moham Si Khuwaish,,
Dilon Main Kismasati Hai,,
Lahoo Garmae Jaati Hai,,
Muhabbat Aur Chahat K Sabhi Ehsas Hain Us Main,,,
Isi Maah-E-Muhabbat Main Yahi Har Saal Hota Hai,,
Muhabbat Ki Mehak Se Har Ik Shae Mua'tar Hai,,,
Libaada Muhabbat Ki Surkhi Ne,,,
Har Ek Shae Ko Dhaanp Rakha Hai,,,
Muhabbat Karne Walon Ki To Jese Eid Ka Din Hai,,
Yehi Din To Bahane Se Un Ki Deed Ka Din Hai,,,
Magar Sun Ae Meri Jaan,,,
Muhabbat To Kabhi Bhi Ek Din Ki Muhtaaj Nahen Hoti,,
Tohfe Tahaif Se Kabhi Phoolon Ki Jharmat Se,,,
Yeh Chahat Barh Nahen Sakti, Aqeedat Ho Nahen Sakti,,
Muhabbat Behta Dariya Hai Jo Poori Shaadmani Se,,,
Saara Saal Behta Hai, Har Pal Yeh Kehta Hai,,
Agar Tum Pyar Karte Ho To Kyon Intizar Karte Ho,,
Is Youm-E-Muhabbat Ka..!!'
'nazar aayi jo mujhe
tum us din.
usi din ruk gayi jaise ye zindagi
bholi si wo surat,
masoom si murat
kya kahu
koi pari khoobsurat…..
aaj bhi usi jagah khada hu main
ye soch ke ki
kal ka ittefaq shayad aaj bhi hoga
aaj bhi aaogi tum
nazron ka nazron se
milna aaj bhi hoga
na jaane yuhi kitne din gujar gaye,
par tum na aayi
darta hu khuda ki bandagi se,
tumhare bina jeene ki soch ke
darta hu is zindagi se
par aaj bhi hai aas
aaj bhi hai intezaar
ab zindagi ka yahi aalam hai,
isi umeed par ki tum kal zaroor aaogi
meri zindagi ruk si gayi hai……………….
~**~**~'
'woo haay shar eey rosha nee main timtimata
saa diya
arzoo usss kee karoon , phir khird maand
khud koo kahoon !!!
younn sitarray khawahisson saay goooad maain girtaay naaheen
paar aggar haay kul mataa yeah toooo bataa
phir kayaa karoon
jantaaa hoon too haay mareee dastrass saay koosoon
door
garaz mandee kaa taqazaa haya kaay kooshish too
karr kaay dekh loon
maain too khudd kassaa leyaa thaa shamil eey
gadaa garaaan
doosroon keee maain khudeee kaay mamlay maain kayaa
kahoon
~**~**~'
'jagmagaa rahi hai khushi zindagi mein
phir bhi ghabrata hai mann
naa jaane ye khushi kab thamm jaaye
na jaane kab ispe gham chaa jaaye
jagmagaa rahi hai khushi zindagi mein
phir bhi ghabrata hai mann
na jaane kab choot jaaye saath tumhara
na jaane kab rooth jaaye ye pyar tumhara
ab to har pal isi baat se darte
hain hum
ab to sirf tujhe khone se darte hain
hum
~**~**~'
Hum Na Hon Ge, Koi Aur Ho Ga
'Hum Na Hon Ge, Koi Aur Ho Ga,
Neye Log Hon Ge, Neya Dor Ho Ga,
Aadam Se Chala Hai, Ta Qiyamat Chale Ga,
Momin B Ho Ga, Kahin Chor Ho Ga,
Prrhe Likhe Behlayen Ge, Kitabo'n Se Dil Ko,
Jo Un Prrh Ho Ga, Wohi Bor Ho Ga,
Khail Ka Midaan Ho, Ya Ilm Ka Jahan Ho,
Jite Ga Wohi Jo, Pur Zor Ho Ga,
Tab Yaad Krye Gi, Duniya Hume B,
"RAJA" Na Mile Ga, Wo Gor Ho Ga.'
Husn Ki Baat Jab Bhi Chalti Hai
'~*~Kyon Muhabbat Hi Muhabbat Ko Maar Deti Hai~*~
Poet : Shaaz Malik.
Mere Hamdam,,
Mere Saajan...!!!
Kahen Jo Bhoole Bhatke Mere Dil K Nagar Main Aana,,,
To Yeh Dekhna K Mere Dil Main,,,
Yaadon Ki Khuli Khidkiyon Per Hijar Ka Kohra Jam'ma Huwa Hai,,,
Jin Se Mere Lafz-E-Wafa Munajimad Hone Lage Hain,,,
Kabhi Jo Bhool Kar Meri Banjar Aankhon Main Dekhoge,,,
To Yeh Bhi Dekh Lena K,,,
Tumhri Furqat K Lamhon Se Aankhon Ki Putliyon Main,,,
Intizaar Baraf Ki Saleeb Bann K Gadha Hai,,,
K Kyon Muhabbat Hi Muhabbat Ko Maar Deti Hai..!!!'
Wednesday, November 26, 2014
'Poet: Amjad Islam Amjad
Milay Kaisay Saddiyun Ki Piyas Aur Pani Zara Phir Sy Kehna,
Bari Dil Ruba Hai Yeh Sari Kahani Zara Phir Sy Kehna..
Kahan Sy Chala Tha Judaie Ka Saya Nahi Deakh Paya,
K Rastay Mein Thi Aansoan Ki Rawani Zara Phir Sy Kehna..
Hawa Yeh Khabr Sunati Rahay Aur Ma Sunta Rahun,
Badalny Ko Hai Ab Yeh Moasum Khizani Zara Phir Sy Kehna..
Samay K Samudar! Kaha Tu Ny Jo Bhi, Suna, Par Na Samjhy,
Jawani Ki Nadi Mein Tha Taiz Pani Zara Phir Sy Kehna...'
'Meri aankhon me utar aao inhain samandar kar do,
Kuch der sahi mohabbat ki ek nazar kar do,
Tööt kr u milo armaan na reh jaye koi,
U mohabbat ka har lamhe ko amar kar do,
Tum pe aye na waqt kabhi qayamat jaisa,
Barhi mushkil hai judai ise Mukhtasar kar do,
Jin k noor se mil jaye binai mujhe,
Apne khabön ko meri aankhon ki nazar kardo,
Dunya ki talab nahi yehi hasrat hai meri,
Apni bahon me lo or dunya se be khabar kar do..'
'Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho
Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho
Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho
Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho
Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho
Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.'
'Sham Ka Manzar, Uljha Rasta, Ek Kahani, Tu Or Mein,
Dhalta Suraj, ßarhta Saya, Kashti Rani, Tu Or Mein,
Band Ik Kmra, Chup Ka Manzar, Bhuli Bisri, Deepak Yaad,
Tanhai, Dukh, Khof Ki Lazzat, Dilßerjani, Tu Or Main,
Titli, Khushbu, Rang Ki Baaten, Shabnam Se Shrmilay Khuwab,
Aas Ka Panchhi, Gum Sum Khawhish, Rat Ki Rani Tu Or Main,
Palken, Chilman, Shrma Sharmi, Kam Kam Goya Nazren, Qurb,
Raaton Jaisi Seedhi Sadhi Ik Nadani, Tu Or Main'
'Us par to bohat sajti hy khushi.
usay kehna k muskraya karey.
us ki aankhon mein nami achi nahi lagti.
usay kehna ghum mujhe de jaya karey.
ye zindagi bohat taveel safar hy.
usay kehna raston sey na ghabraya karay.
uski Zindagi humein aziz bohat hy.
usay kehna logon sey khud ko bachaya karay...!!!'
'Miley kisi se Nazar to samjho Ghazal hoi
Rahe na apni Khabar to samjho Ghazal hoi
Mila ke Nazron ko walehana Haya se phir
Jhuka ley koi Nazar to samjho Ghazal hoi
Idhar machal ker unhein pukare Junoon Mera
Dharak uthe Dil Udhar to samjho Ghazal hoi
Udaas Bistar ki Silwatein jab Tumhein Chubhein
Na Soo sako Raat bhar to samjho Ghazal hoi
Wo Bad-Guman ho to Shair soojhe na Shayari
Wo Meherbaan ho Zafar to samjho Ghazal hoi'
'Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do,
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do,
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin,
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do,
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai,
magar pal do pal, ghari do ghari mera naam hi likh do,
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre,
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do,'
'Ab kise chaahen kise Dhundhaa karen
Wo bhe aaKhir mil gayaa ab kyaa karen
halki halki baarishen hoti rahen
ham bhe phuulon ki tarah bhigaa karen
aaNkh muuNde us gulaabi dhuup men
der tak baithe use sochaa karen
dil muhabbat din duniyaa shaayari
har dariche se tujhe dekhaa karen
ghar nayaa kapade naye bartan naye
in puraane kaaGazon kaa kyaa karen'
'Socha nahi acha bura, dekha suna koch b nahi,
Manga khuda se raat din, tere siwa koch b nahi,
Socha tujhe,dekha tujhe, chaha tujhe, poja tujhe,
Meri khata,meri wafa, teri khata koch b nahi,
Jis per hamari aankh ne moti bichhaye raat din,
Bejha wahi kaghaz ose hum ne likha koch b nahi,
Ik shaam ki dehliz per bethe rahe wo deir tak,
Aankho'n se ki baatyen magar mou se kaha koch b nahi,
Do char din ki baat hai dil khak mein so jaye ga,
Jab aag per kaghaz rakha baqi bacha koch b nahi.'
'KITNI AASANI SE US NY LIKH DIA HY " JANE MAN" MEHSOOS MAT KARNA
"MAGAR"
IN DINO BEEMAR B HOON OR KUCH HALAAT B ACHE NAHI,
RAAT DIN SOCHON MEIN GUM REHTI HOON,
IK GUZARISH HY BURA MAT MAN,NA
MERE KHAT OR MERI TASVEERAIN TAMAM
MUJH KO WAPIS BEJH DO
MERI MANGNI HONE WALI HY,BUHAT MAJBOOR HOON MEIN,
US KI TASVEERAIN OR US K KHAT TAMAM
MEIN NY CHUN CHUN KAR RAWANA KAR DIYE
US NY PHIR LIKHA K SARI ZINDAGI
APNI TEHREROON KI, TASVEERON KI SURAT MEIN SADA
AB TUMHAIN DEKHON GI MEIN
APNI SAANSON K BUHAT NAZDEEK PAON GI TUMHAIN
DOOSRON K WAASTAY MEIN BHOOL JAON GI TUMHAIN.'
'. .GAZAL . .
Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi,
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.
Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi,
Kya bataon k tere ishq mein rahat kia thi.
Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hy,
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.
Aik muddat hui Izhar-e-Mohabat kar k,
Aaj tak soch raha hun k himaqat kya thi.
Kya bataon k yahan poch rahe hain sab log,
Woh jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.'
'Udas Dil ki Udas Baten,
Smajhne Wala koi To Hota!
K jiski Baton Se Dil Smbhlta
K jiski Sangat My Dil Behlta
Jiski Halki Si ek jhalak b
Hmare Dukh ko Smait Deti!
Falak Se khushiyan Undail Deti
Ya Uski Nazuk c Muskraht!
Hmare Din ki Sabhi Thakawt ko Dor karti
Ya Phr Chamkti Wo Ankhain Uski!
Hmari Hasti ka Raaz Hotin.
Hmare Dukh ki kitab Hotin!
Jo Hmko chahta,Hmko prhta
Guzrte lamhon ki sakhtiyon man!
Koi to nazuk mizaj Hota
Koi to Hota.'
'Mujhe aansuon ki talab nahi,
mujhe zindagi ki talash hy,
Jise dhond kar bhi na pa saka,
mujhe phir usi ki talash hy,
Muje dushmano me na dhondna,
muje dostön me talashna
Me muhabtön ka aseer hon,
Muje dostön ki talash hai,
Meri rah-e-azm-talash me,
Koi zindagi ka rafeeq ho,
Koi ansuoo ka charagh de,
Muje roshni ki talash hai,
Me bulandion ka zameer hon,
Me rafaqton ka pazeer hon,
Muje nafraton ki zameen par,
"DOSTON KI TALASH HAI''^^^'
'Hum se taskheer muqadar k sitaray na huay
Zindgi aap thay, aur aap hmaray na huay
Phir btao k bhala kis pe sitam dhaao gay
Shehr-e-ulfat mein agar dard k maaray na huay
Such to ye hai k bina us k guzara jeevan
Ye b such hai k bina us k guzaaray na huay
Is liay apna milan ho b nahi skta tha
Aik, darya k kbhi dono kinaray na huay
Toot jatay hain sbhi pyaar k rishtay aksar,
Kachy dhaagay to kisi k b sahaary na huay.^^^'
'-"R"-
Niyat hi Agr Thek Zamane ki Nhi Hai
Jaldi to Mjhe B Kahin Jaane Ki Nhi Hai
Jin Khwabon Ki Taabir Pr israr Hai Tm ko
Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nhi Hai
Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Hue Dil Me
Wo Baat Kisi Se B Chupane Ki Nhi Hai
Is Bheer Me Saye Se Bicharta Hua Saya
Kahta Hai Yahn Sath Nibhane Ki Nhi Hai
Jalte Hue Shahron Me izafa Hi to Hoga
Jb Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nhi Hai
Jo tere Liye WaQt Se Larte Hain Abhi tk
Un ko to Khabar Hi Tere Ane Ki Nhi Hai
Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ki Aadi Nhi Wrna
Ye Umr Tjhe Khwab Dikhane Ki Nhi Hai.^^^'
'"Mohabaton Me Kuch Aisay B Haal Hote Hain,
Khafa Hon Jin Se Unhin K Khayal Hote Hain
Machalte Rehte Hain Zehnoñ Me Was'Wason Ki Tarha,
Haseen Log B Jaañ Ka Wabaal Hote Hain
Main Dil K Zakham Chupaon Teri Tarha Kaisay
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain
Bus Ek Tu Hi Sabab To Nahi Udasi Ka
Tarha Tarha K Dilon Ko Malaal Hote Hain
Seyaah Raat Me Jalte Hain Jugnuon Ki Tarha
Dilon K Zakhm B "WASI" Kamaal Hote Hain...!!'
PhoOlon Ki Aarzu Main Barre Zakhm Khaaye Hain
ZindGi Ki Rahon Me
'jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main
shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main
kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main
sare gile tamam hue ek jawab main
...
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main
rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am
abad ek ghar hai jahan-e-kharab main
badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk
ab uzr kya raha nigah-e-behijab main
matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main
nakamiyon se kam raha umr bhar hamain
piri main yas hai jo hawas thi shabab main
kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin
be-bada mast hun main shab-e-mahtab main
paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida
“Momin” Khuda ko bhul gaye iztarab main.....'
'[ NishaaT - E - Ghum ]
December Ka Koi Yakh Basta DiN Tha
Main Europe Ke Nehaayat Door Ufaadaa' ILaaiqe Ki
Kisi Veeran Teeraa'n Gaah' Mein
BiLkuL AkeLi Banch Per BeThi Thii
ELaan - E - Safar Ki Muntazir Thii
Jahaa'n Tak Aankh Sheeshe Ke Udhar JaaTii
Udaasi Se GaLaY MiLTii
MusaLsaL BarF-BaaRi Ho Rahi Thii
Achanak Mene ApnaY Se MukhatiB
BohaT Maanoos Ik Aawaz Dekhi
Aap Kesii Hain?
AkeLii Hain?
GhhanaY BaaLon, Chamakti BhooRi Aankhon
DiL-Nasheen Baato'n Se Pur
Woh PuR-Kashish Ladka Kaha'n Hai
Aap Dono'n KiTnaY AchhaY LagtaY ThaY !
Mere ChehraY PaY Ik Saaya Saa Lehraya Tha Shayad
Woh AagaY Kuch Nahin BoLa!
Mera DiL Dukh Se Kesa Bhar Gaya Tha
Magar Tah Mein Khushi Ki Laher Bhi Thii
Puraane Log Abhi Bhoole Nahin Hum Ko
Humein Bichhrde, Agar Che
Aaj SoLa SaaL HogaYe'
'Zindagi
Zindagi Ki RahoOn Main
Aik Lamha Lagta Hai
DiL Ksi Pe AanY Main . . .!
Mujh Ko B MiLa Tha Wo
Jis KO Daikhty He DiL Be-Tahasha Dharka Tha
Mujh Se Keh Rha Tha Wo...
K tUm Se Pyar Hai Mujh Ko
Main Ne Muskura K PHOoL Ly Liya Us Se
Hath Main Hath DaLL Kar
Pyar K Aasmaan Pe Hum Donon
Chahty Thy Sath Urrnaa
Par Kitny PagaL Thy Hum......:-(
Aasman Pe Jeevan Bhar Koi Urr Saka Hai Kya......???
Hath Hath Se Chota
Ek Sitara Jo Toota
Tab Khabar Hoi Mujh Ko
Aik Lamha Lagta Hai
DiL K Toot Jany Main
Aur Umer Lagti Hai
Kirrchiyan UthanY Main . . .*)'
'Farz Karo
Farz Karo Hum Ahel-E-Wafa Hoon,
Farz Karo Deewaane Hoon,
Farz Karo Yeh Donoon Baaten Jhooti Hoon, Afsaane Hoon,
Farz Karo Yeh Nain Tumhare,
Sach Much Ke Meh_Khane Hoon,
Farz Karo Tumhen Khush Karne Ke Dhoondhe Hum Ne Bahaane Hoon,
Farz Karo Yeh Jee Ki Bipta Jee Se Jod Sunayi Ho,
Farz Karo Abhi Aur Ho Itni, Aadhi Hum Ne Chupayi Ho,
Farz Karo Yeh Jog Be_Jog Ka, Dhong Hi Hum Ne Rachaaya Ho,
Farz Karo Bas Yahi Haqeeqat, Baqi Sab Kuch Maaya Ho,
Farz Karo Yeh Rog Ho Jhoota, Jhooti Peet Hamari Ho,
Farz Karo Is Peet Ke Rog Mein Saans Bhi Hum Pe Bhaari Ho...!!!'
'*. . .Wisal mosam guzar gaya to khayal ban kar mila karen gey. . .*
Bichar gaye to hum ik
mah_e saal ban kar mila karen gey,
Kitab-e-ehad e wafa ke ik ik warq pe apni khabar miley gi,
Hum Ahl_e_ulfat mohabbaton ki misal ban kar mila karen gey,
Hazar lamho'n ki ho musafat dilo'n ki dharkan sunai de gi,
Guzarte lamhon ki har sada mein dhamaal ban kar mila karen gey,
Abhi to lamhon ki dooriyon per bhatak rahe hain magar kabhi hum,
Falak ki gardish mein aa gaye to hilal ban kar mila karen gey. . .*
;=;=;=;=;=;=;=;=;=;=;
R o C k s
;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;-;'