Wednesday, November 26, 2014

'[ NishaaT - E - Ghum ]



December Ka Koi Yakh Basta DiN Tha



Main Europe Ke Nehaayat Door Ufaadaa' ILaaiqe Ki



Kisi Veeran Teeraa'n Gaah' Mein



BiLkuL AkeLi Banch Per BeThi Thii



ELaan - E - Safar Ki Muntazir Thii




Jahaa'n Tak Aankh Sheeshe Ke Udhar JaaTii



Udaasi Se GaLaY MiLTii



MusaLsaL BarF-BaaRi Ho Rahi Thii




Achanak Mene ApnaY Se MukhatiB



BohaT Maanoos Ik Aawaz Dekhi



Aap Kesii Hain?


AkeLii Hain?



GhhanaY BaaLon, Chamakti BhooRi Aankhon


DiL-Nasheen Baato'n Se Pur



Woh PuR-Kashish Ladka Kaha'n Hai



Aap Dono'n KiTnaY AchhaY LagtaY ThaY !



Mere ChehraY PaY Ik Saaya Saa Lehraya Tha Shayad



Woh AagaY Kuch Nahin BoLa!



Mera DiL Dukh Se Kesa Bhar Gaya Tha



Magar Tah Mein Khushi Ki Laher Bhi Thii


Puraane Log Abhi Bhoole Nahin Hum Ko



Humein Bichhrde, Agar Che



Aaj SoLa SaaL HogaYe'
          

No comments: