'Ik na ik shama andheray mein jalaaye rakhiye...
Subah honay ko hai maahol banaaye rakhiye...
Jin ke haathon se humein zakhm-e-nihaan pohanchay hain...
Wo bhi kehtay hain ke zakhmo ko chupaaye rakhiye...
Kaun jaanay wo kis raah guzar se guzray...
Har guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye...
Daaman-e-yaar ki zeenat na banay har aansu...
Apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye...
"IK NA IK SHAMA ANDHERAY MEIN JALAAYE RAKHIYE"'
No comments:
Post a Comment