Wednesday, November 26, 2014

'Hum se taskheer muqadar k sitaray na huay

Zindgi aap thay, aur aap hmaray na huay

Phir btao k bhala kis pe sitam dhaao gay

Shehr-e-ulfat mein agar dard k maaray na huay

Such to ye hai k bina us k guzara jeevan

Ye b such hai k bina us k guzaaray na huay

Is liay apna milan ho b nahi skta tha

Aik, darya k kbhi dono kinaray na huay

Toot jatay hain sbhi pyaar k rishtay aksar,

Kachy dhaagay to kisi k b sahaary na huay.^^^'
          

No comments: