Friday, November 21, 2014

'"GAZAL"

Ajab halaat thy yoon dil ka soda ho gaya aakhir,

Mohabbat ki haweli jis tarha neelaam ho jaye.

Samandar ke safar mein iss tarha Sadaen de hum ko,

Hawaayen taiz hon aur
kashtiyon mein shaam ho jaye.

Mujhe maloom hae us ka thikana phir kahaan
ho ga,

Parinda Aasman choonay mein jab nakaam ho jaye.

Ujalay apni yaadon ke humary pas rehny do,

Na'janay kis galli mein zindagi ki shaam ho jaye.'
          

No comments: