Thursday, November 20, 2014

Wo thaka huwa meri baanhon  mein zara so gaya tha to kya huwa,?

abhi main ne dekha hai chaand bhi kisi shaakh-E-gul pe jhuka huwa.

Mere sath sath sada raha wo meri nazar se chupa huwa,

ye ajeeb hijr-O-wisaal hai na kabhi mila na juda huwa.

Koi phool dhoop ki pattiyon mein haray riban se bandha huwa,

wo ghazal ka lehja naya naya na kaha huwa na suna huwa.

Jisay lay gai hai abhi hawa
wo waraq tha dil ki kitaab ka

kahin aansuon se mita huwa kahin aansuon se likha huwa.

Kayi meel rait ko kaat kar koi moaj phool khila gayi

koi pairr piyaas se mar raha hai nadi k paas kharra huwa.
Muje haadson ne saja saja k boht haseen bana diya

mera dil bhi jese dulhan ka haath ho
mehndiyon se saja huwa...'
          

No comments: