Wednesday, November 19, 2014

'Nigaah-e-shoq se hum ne tumhein ik bar daikha tha,
Koi jazba tha pehli baar jise be-dar daikha tha,

Wo jis k hont par her dam saji muskan rahti thi,
Na janay kun usay maine bara bezaar daikha tha,

Roz-o-shab badalne main bhala kia dair lagti hai,
Jo takht-o-taaj rakhtay thy unhain la-chaar daikha tha,

Hum apnay dost dushman ki khabar jo rakh nahi paye,
Usi ne waar kar dala jise gham-khwaar daikha tha.'
          

No comments: