Muqaddar chhorh de jisko zamaanaa chhorh deta hai
khizaa meiN har parinda aashiyanaa chhorh deta hai
zamaane bhar ki taqreereN asar mujh par naheeN karteeN
magar ik lafz teraa ik fasaana chhorh deta hai
wo zaalim bewafaa harjaai bhi to hai magar phir bhi
nazar milte hi ik manzar suhana chhorh deta hai.@
No comments:
Post a Comment