Monday, August 10, 2015

Veeran bohat hon wasal sy Tashkeel kar Mujhy,
Tu mujh say pyar kar zara tabdeel kar mujhy,

Sehra ki tapti rait sy aa kar mujhy bacha,
Tu Thanday meethay pani ki ik jheel kar mujhy,

Ho jaain na kharab kahain meri aadatain,
Har hukm par na es tarah taa'meel kar mujhy,

Ab es trah se mujh ko adhura na chhor tou,
Main hon tera wada to ab takmeel kr mujhy,

Chhu kr mera wajood tajjali si bakhash dy,
Main ik andhairi raat hoon Qandeel kr mujhy.

No comments: