Thursday, August 13, 2015

Apna rishtah apni manzil apne dhoop aur chaaon aik hain



Apna rishtah apni manzil apne dhoop aur chaaon aik hain
Khushyan sanjhi, aansu sanjhay, nagri gayon aik hain

Rawi Jhehlam Sindh Punjab apne sath apnay maztarab 
Pyar ka dia aik hamara pyar ki shabnum aik hain

Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai

Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai

Sabz haray maidanon mein aag bharay khelano mein
Aaj ki raat mil kar gayain aao hum sab aik hai.
Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai

Nobat baje dum dum dum teiz qadam taiz qadam
Pyar ka dia aik hamara pyar ki shabnum aik hai

Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai
Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai


Jaise ka aahang andaz tarash qarain qaniyah aik 
Faqat kheyal iradah ziadah sahil aik sufinah aik

Dard ka daru aik hamara zakhum ka marhum aik hai
Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai

Apni subha-o-jamal wahi
Nisbat maazi-o-haal wahi
Jaan-e-istaqbaal wahi

Ruh ki chahat aik hamari shoq ka aalam aik hai
Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai


Quaid jis nay khuab ko jiwan jisam dia tabeer dia
Aik aan say chand uchala aazadi ko taqdeer dia

Jaltay bujhtay suraj ko garma kar mah muneer dia
Mitti ko aayinah kia har boond ko joye sher kia

Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai
Apna parcham aik hai apna Quaid-e-Azam aik hai









My CoNtaCt # Is 0300-7200080 Enjoy My blog.

No comments: