Saturday, August 1, 2015

Main ajeeb zamane ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin tou badal hi jatay hein silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jaane kyun log qatratay hein log mujhe milne se
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Paani maangte maangte mere hont pathar ho gaye
Wo shakhs mashkiza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sar jhukaye huey
Sitamgar k sitam ki inteha dekhta raha

Umer bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or wo duniya dekhta raha

No comments: