Naye kapray badal kar jaon kahan, aur baal bnaon kis k liye
Wo shakhs tou shehar hi chor gaya, main bahir jaon kis k liye
Wo shehar mein tha tou us k liye auron se bhi milna parhta tha
Ab aisay wesay logon k main naaz uthaaon kis k liye
Jis dhoop ki dil mein thandak thi wo dhoop us k saath gayi
In jalti balti galiyon mein ab khaak uraaon kis k liye
Is shehar mein us ka badal nahi, koi wesa jaan-e-ghazal nahi
Aewaan-e-ghazal mein lafzon k, guldaan sajaon kis k liye
Mudat se koi aaya na gaya, sunsaan pari hay ghar ki faza
In khaali kamron mein 'Nasir' ab shama jalaon kis k liye
No comments:
Post a Comment